SEARCH RESULTS
Showing search results for "تصورات"
Sher MATCHES FOR "تصورات"
Sher
tabaah ho ke haqaa.eq ke khurdure-pan se
tasavvuraat kii ta.amiir kar rahaa huu.n mai.n
Abdul Hamid Adam
Sher
duniyaa-e-tasavvur ham aabaad nahii.n karte
yaad aate ho tum KHud hii ham yaad nahii.n karte
Fana Nizami Kanpuri
Sher
kuchh nazar aataa nahii.n us ke tasavvur ke sivaa
hasrat-e-diidaar ne aa.nkho.n ko andhaa kar diyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
ghar kii ta.amiir tasavvur hii me.n ho saktii hai
apne naqshe ke mutaabiq ye zamii.n kuchh kam hai
Shahryar
Sher
dil-o-nazar ko abhii tak vo de rahe hai.n fareb
tasavvuraat-e-kuhan ke qadiim but-KHaane
Ali Sardar Jafri
Sher
yuu.n barastii hai.n tasavvur me.n puraanii yaade.n
jaise barsaat kii rim-jhim me.n samaa.n hotaa hai
Qateel Shifai
Sher
Sahir Ludhianvi
Sher
shaam se un ke tasavvur kaa nasha thaa itnaa
nii.nd aa.ii hai to aa.nkho.n ne buraa maanaa hai
Unknown
Sher
Hafeez Jalandhari
Sher
tasavvur zulf kaa hai aur mai.n huu.n
balaa kaa saamnaa hai aur mai.n huu.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
ajiib shai hai tasavvur kii kaar-farmaa.ii
hazaar mahfil-e-ra.ngii.n shariik-e-tanhaa.ii
Payam Fatehpuri
Sher
Akhtar Shirani
Sher
haa.n dikhaa de ai tasavvur phir vo sub.h o shaam tuu
dau.D piichhe kii taraf ai gardish-e-ayyaam tuu
Allama Iqbal
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
taGayyuraat ke aalam me.n zindagaanii hai
shabaab faanii nazar faanii husn faanii hai