SEARCH RESULTS
Showing search results for "در_بہ_در"
Sher MATCHES FOR "در_بہ_در"
Sher
dar-ba-dar Thokare.n khaa.ii.n to ye maaluum hu.aa
ghar kise kahte hai.n kyaa chiiz hai be-ghar honaa
Saleem Ahmed
Sher
liye phiraa jo mujhe dar-ba-dar zamaane me.n
KHayaal tujh ko dil-e-be-qaraar kis kaa thaa
Muneer Niyazi
Sher
mai.n apnii ruuh liye dar-ba-dar bhaTaktaa rahaa
badan se duur mukammal vajuud thaa meraa
Faryad Aazar
Sher
dar-ba-dar maaraa-phiraa mai.n justujuu-e-yaar me.n
zaahid-e-ka.aba hu.aa rahbaan-e-but-KHaana hu.aa
Hatim Ali Mehr
Sher
tujh se to dil ke paas mulaaqaat ho ga.ii
mai.n KHud ko Dhuu.nDne ke liye dar-ba-dar gayaa
Mustafa Zaidi
Sher
le ga.ii.n duur bahut duur havaa.e.n jis ko
vahii baadal thaa mirii pyaas bujhaane vaalaa
Iqbal Ashhar
Sher
maut bhii duur bahut duur kahii.n phirtii hai
kaun ab aa ke asiiro.n ko rihaa.ii degaa
Mohammad Alvi
Sher
kuchh mujhe bhii yahaa.n qaraar nahii.n
kuchh tiraa Gam bhii dar-ba-dar hai yahaa.n
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
is justujuu me.n aur KHaraabii to kyaa kahe.n
itnii nahii.n hu.ii hai sabaa dar-ba-dar ki ham
Meer Taqi Meer
Sher
dam-ba-dam uThtii hai.n kis yaad kii lahre.n dil me.n
dard rah rah ke ye karvaT sii badaltaa kyaa hai
Jamal Panipati
Sher
Jaun Eliya
Sher
Jaun Eliya
Sher
ik safar me.n ko.ii do baar nahii.n luT saktaa
ab dobaara tirii chaahat nahii.n kii jaa saktii
Jamal Ehsani
Sher
jaatii hai duur baat nikal kar zabaan se
phirtaa nahii.n vo tiir jo niklaa kamaan se
Muneer Shikohabadi
Sher
tum ko chaahaa to KHataa kyaa hai bataa do mujh ko
duusraa ko.ii to apnaa saa dikhaa do mujh ko