SEARCH RESULTS
Showing search results for "زوال"
Sher MATCHES FOR "زوال"
Sher
mai.n apnii aa.nkho.n se apnaa zavaal dekhtaa huu.n
mai.n bevafaa huu.n magar be-KHabar na jaan mujhe
Saqi Faruqi
Sher
mirii uruuj kii likkhii thii daastaa.n jis me.n
mire zavaal kaa qissa bhii us kitaab me.n thaa
Vikas Sharma Raaz
Sher
KHudaa kare ki tire husn ko zavaal na ho
mai.n chaahtaa huu.n tujhe yuu.nhii umr-bhar dekhuu.n
Mustafa Zaidi
Sher
kyaa isii bhuul ko kahte hai.n mohabbat kaa zavaal
ab mujhe yaad nahii.n saalgirah bhii terii
Ahmad Faraz
Sher
vo yuu.n subuut-e-uruuj-o-zavaal detaa thaa
uThaa ke haath me.n patthar uchhaal detaa thaa
Ibrat Machlishahri
Sher
isii liye to haar kaa hu.aa nahii.n malaal tak
vo mere saath saath thaa uruuj se zavaal tak
Azeem Haider Syed
Sher
zavaal ye hai ki ham zindagii se haar ga.e
kamaal ye hai ki ham zindagii guzaar ga.e
Mahwar Sirsivi
Sher
aa.nkho.n me.n us kii mai.n ne aaKHir malaal dekhaa
kin kin bulandiyo.n par apnaa zavaal dekhaa
Mohammad Aazam
Sher
Ajmal Siddiqui
Sher
zavaal-e-asr hai kuufe me.n aur gadaagar hai.n
khulaa nahii.n ko.ii dar baab-e-iltijaa ke sivaa
Muneer Niyazi
Sher
kise KHabar thii mujhe laa-zavaal kar degaa
miraa hii dard mujhe be-misaal kar degaa
Raziya Parveen
Sher
mai.n qatl ho ke bhii sharminda apne-aap se huu.n
ki is ke baa'd to saaraa zavaal hai us kaa
Abul Hasanat Haqqi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
aayaa payaam-e-vasl yakaayak jo yaar kaa
ma.aluum ye hu.aa ki ga.e din zavaal ke
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
zavaal-e-ahd to shaayad mujhe na pahchaane
mai.n ik havaala huu.n aur karbalaa se aayaa huu.n