SEARCH RESULTS
Showing search results for "طبیعت"
Sher MATCHES FOR "طبیعت"
Sher
kaise aakaash me.n suuraaKH nahii.n ho saktaa
ek patthar to tabii.at se uchhaalo yaaro
Dushyant Kumar
Sher
ishq se tabii.at ne ziist kaa mazaa paayaa
dard kii davaa paa.ii dard-e-be-davaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
mujhe ye Dar hai tirii aarzuu na miT jaa.e
bahut dino.n se tabii.at mirii udaas nahii.n
Nasir Kazmi
Sher
ishq ke iz.haar me.n har-chand rusvaa.ii to hai
par karuu.n kyaa ab tabii.at aap par aa.ii to hai
Akbar Allahabadi
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
Zeb Ghauri
Sher
kuchh log yuu.nhii shahr me.n ham se bhii KHafaa hai.n
har ek se apnii bhii tabii.at nahii.n miltii
Nida Fazli
Sher
kuchh din ke baa'd us se judaa ho ga.e 'muniir'
us bevafaa se apnii tabii.at nahii.n milii
Muneer Niyazi
Sher
Nida Fazli
Sher
jis se ye tabii.at ba.Dii mushkil se lagii thii
dekhaa to vo tasviir har ik dil se lagii thii
Ahmad Faraz
Sher
zaalim kii to aadat hai sataataa hii rahegaa
apnii bhii tabii.at hai bahaltii hii rahegii
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
Hasrat Mohani
Sher
phir aaj 'adam' shaam se Gamgii.n hai tabii.at
phir aaj sar-e-shaam mai.n kuchh soch rahaa huu.n
Abdul Hamid Adam
Sher
fikr-e-ma.aash maatam-e-dil aur KHayaal-e-yaar
tum sab se ma.azarat ki tabii.at udaas hai
Javed Iqbal
Sher
Thahrii Thahrii sii tabii.at me.n ravaanii aa.ii
aaj phir yaad mohabbat kii kahaanii aa.ii