SEARCH RESULTS
Showing search results for "غفلت"
Sher MATCHES FOR "غفلت"
Sher
terii be-pardagii hii husn kaa parda niklii
kaam kuchh kar ga.ii har haal me.n Gaflat merii
Sohail Azeemabadi
Sher
rafta rafta Gair apnii hii nazar me.n ho ga.e
vaah-rii Gaflat tujhe apnaa samajh baiThe the ham
Firaq Gorakhpuri
Sher
aa hii gayaa vo mujh ko lahad me.n utaarne
Gaflat zaraa na kii mire Gaflat-shi.aar ne
Hafeez Jalandhari
Sher
bhar laa.e hai.n ham aa.nkh me.n rakhne ko muqaabil
ik KHvaab-e-tamannaa tirii Gaflat ke baraabar
Abrar Ahmad
Sher
Javed Lakhnvi
Sher
ab mujhe tho.Dii sii Gaflat se bhii Dar lagtaa hai
aa.nkh lagtii hai ki diivaar se sar lagtaa hai
Rana Gannauri
Sher
log manzil kii taraf lapke hai.n lekin
bhii.D me.n Gaflat bhii shaamil ho ga.ii hai
Chandrabhan Khayal
Sher
qahr hai tho.Dii sii bhii Gaflat tariiq-e-ishq me.n
aa.nkh jhapkii qais kii aur saamne mahmil na thaa
Asghar Gondvi
Sher
binaa thii aish-e-jahaa.n kii tamaam Gaflat par
khulii jo aa.nkh to goyaa ki ahtelaam hu.aa
Qayem Chaandpuri
Sher
Dil Shahjahanpuri
Sher
aadmii ko Gaflat-e-duniyaa nahii.n detii najaat
sub.h jo chau.nkaa hu.aa masruuf isii saamaan me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
Gaflat me.n farq apnii tujh bin kabhuu na aayaa
ham aap ke na aa.e jab tak ki tuu na aayaa
Meer Khaleeq
Sher
tohmat-e-jurm-o-KHataa hirs-o-havaa Gaflat-e-dil
ham ne baazaar se hastii ke liyaa kyaa kyaa kuchh