SEARCH RESULTS
Showing search results for "مسافر"
Sher MATCHES FOR "مسافر"
Sher
ham se pahle bhii musaafir ka.ii guzre ho.nge
kam se kam raah ke patthar to haTaate jaate
Rahat Indori
Sher
Meeraji
Sher
Dhuu.nDtaa phirtaa huu.n mai.n 'iqbaal' apne aap ko
aap hii goyaa musaafir aap hii manzil huu.n mai.n
Allama Iqbal
Sher
aa.nkho.n me.n rahaa dil me.n utar kar nahii.n dekhaa
kashtii ke musaafir ne samundar nahii.n dekhaa
Bashir Badr
Sher
KHud pukaaregii jo manzil to Thahar jaa.uu.ngaa
varna KHuddaar musaafir huu.n guzar jaa.uu.ngaa
Muzaffar Razmi
Sher
Danish Amiri
Sher
Vilas Pandit Musafir
Sher
Tauseef Tabassum
Sher
rah-e-qaraar ajab raah-e-be-qaraarii hai
ruke hu.e hai.n musaafir safar bhii jaarii hai
Ram Awtar Gupta Muztar
Sher
Makhmoor Dehlvi
Sher
safar hai shart musaafir-navaaz bahutere
hazaar-haa shajar-e-saaya-daar raah me.n hai
Haidar Ali Aatish
Sher
us ek chhoTe se qasbe pe rail Thahrii nahii.n
vahaa.n bhii chand musaafir utarne vaale the
Jamal Ehsani
Sher
mere junuu.n ko zulf ke saa.e se duur rakh
raste me.n chhaa.nv paa ke musaafir Thahar na jaa.e
Fani Badayuni
Sher
Nasir Kazmi
Sher
hasrat pe us musaafir-e-be-kas kii ro.iye
jo thak gayaa ho baiTh ke manzil ke saamne