SEARCH RESULTS
Showing search results for "پندار"
Sher MATCHES FOR "پندار"
Sher
KHaak me.n daulat-e-pindaar-o-anaa miltii hai
apnii miTTii se bichha.Dne kii sazaa miltii hai
Iftikhar Arif
Sher
merii KHaatir na sahii apnii anaa kii KHaatir
apne bando.n se to pindaar KHudaa.ii le le
Ahmad Faraz
Sher
kii tark-e-mai to maa.il-e-pindaar ho gayaa
mai.n tauba kar ke aur gunahgaar ho gayaa
Dagh Dehlvi
Sher
be-niyaazaana guzar jaa.e guzarne vaalaa
mere pindaar ko ab shauq-e-tamaashaa bhii nahii.n
Iqbal Azeem
Sher
jis ne insaa.n se mohabbat hii nahii.n kii 'taabish'
us ko kyaa ilm ki pindaar se aage kyaa hai
Tabish Kamal
Sher
taariif roz lete ho apne Guruur kii
mujh ko barahman-e-but-e-pindaar kar diyaa
Muneer Shikohabadi
Sher
kibr bhii hai shirk ai zaahid muvahhid ke huzuur
le ke tesha KHaaksaarii kaa but-e-pindaar to.D
Muneer Shikohabadi
Sher
yaa husn hai naa-vaaqif-e-pindaar-e-mohabbat
yaa ishq hii aasaanii-e-atvaar me.n gum hai
Naeem Zarrar Ahmad
Sher
shaiKH is but-shikanii par na ho itnaa maGruur
tuu ne to.Daa nahii.n apnaa but-e-pindaar hanuuz
Shaikh Ghulam Ali Rasikh
Sher
garche kyaa kuchh the magar aap ko kuchh bhii na ginaa
ishq barham-zan-e-kaashaana-e-pindaar rahaa
Anwar Dehlvi
Sher
paas-e-pindaar-e-tabii.at dil agar rakh le to kyaa
hai vajuud-e-dard mohkam zabt-e-Gam kar le to kyaa