SEARCH RESULTS
Showing search results for "چار"
Sher MATCHES FOR "چار"
Sher
umr-e-daraaz maa.ng ke laa.ii thii chaar din
do aarzuu me.n kaT ga.e do intizaar me.n
Seemab Akbarabadi
Sher
Nida Fazli
Sher
ik fursat-e-gunaah milii vo bhii chaar din
dekhe hai.n ham ne hausle parvardigaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kha.Daa huu.n aaj bhii roTii ke chaar harf liye
savaal ye hai kitaabo.n ne kyaa diyaa mujh ko
Nazeer Baaqri
Sher
le mere tajrabo.n se sabaq ai mire raqiib
do-chaar saal umr me.n tujh se ba.Daa huu.n mai.n
Qateel Shifai
Sher
yuu.n chaar din kii bahaaro.n ke qarz utaare ga.e
tumhaare baa'd ke mausam faqat guzaare ga.e
Manoj Azhar
Sher
Sahir Ludhianvi
Sher
sach hai ehsaan kaa bhii bojh bahut hotaa hai
chaar phuulo.n se dabii jaatii hai turbat merii
Jaleel Manikpuri
Sher
dost do-chaar nikalte hai.n kahii.n laakho.n me.n
jitne hote hai.n sivaa utne hii kam hote hai.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Moin Ahsan Jazbi
Sher
vo chaar chaa.nd falak ko lagaa chalaa huu.n 'qamar'
ki mere baa'd sitaare kahe.nge afsaane
Qamar Jalalvi
Sher
hamla hai chaar suu dar-o-diivaar-e-shahr kaa
sab ja.ngalo.n ko shahr ke andar sameT lo
Jaun Eliya
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
fursat-e-kaar faqat chaar gha.Dii hai yaaro
ye na socho kii abhii umr pa.Dii hai yaaro
Jan Nisar Akhtar
Sher
ye chaar din ke tamaashe hai.n aah duniyaa ke
rahaa jahaa.n me.n sikandar na aur na jam baaqii