SEARCH RESULTS
Showing search results for "इशारों"
Sher MATCHES FOR "इशारों"
Sher
bikhrii hu.ii vo zulf ishaaro.n me.n kah ga.ii
mai.n bhii shariik huu.n tire haal-e-tabaah me.n
Jaleel Manikpuri
Sher
ye kah rahii hai ishaaro.n me.n gardish-e-garduu.n
ki jald ham ko.ii saKHt inqalaab dekhe.nge
Ahmaq Phaphoondvi
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
aag dariyaa ko ishaaro.n se lagaane vaalaa
ab ke ruuThaa hai bahut mujh ko manaane vaalaa
Vishal Khullar
Sher
KHamoshii bas KHamoshii thii ijaazat ab hu.ii hai
ishaaro.n ko tire pa.Dhne kii jur.at ab hu.ii hai
Shariq Kaifi
Sher
bhaa.np hii le.nge ishaara sar-e-mahfil jo kiyaa
taa.Dne vaale qayaamat kii nazar rakhte hai.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
terii mahfil se uThaataa Gair mujh ko kyaa majaal
dekhtaa thaa mai.n ki tuu ne bhii ishaara kar diyaa
Hasrat Mohani
Sher
ko.ii ishaara dilaasaa na ko.ii va.ada magar
jab aa.ii shaam tiraa intizaar karne lage
Waseem Barelvi
Sher
aa.nkho.n se mohabbat ke ishaare nikal aa.e
barsaat ke mausam me.n sitaare nikal aa.e
Mansoor Usmani
Sher
kis tarah kare.n tujh se gila tere sitam kaa
mad.hosh ishaaro.n ne bhii dil to.D diyaa hai
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
yuu.n to ab bhii hai vahii ranj vahii mahruumii
vo jo ik terii taraf se thaa ishaaraa na rahaa
Habeeb Ashar Dehlavi
Sher
ye adaa.e.n ye ishaare ye hasii.n qaul-o-qaraar
kitne aadaab ke parde me.n hai inkaar kii baat
Khalid Yusuf
Sher
yuu.n churaa.ii.n us ne aa.nkhe.n saadgii to dekhiye
bazm me.n goyaa mirii jaanib ishaaraa kar diyaa
Fani Badayuni
Sher
us jagah jaa ke vo baiThaa hai bharii mahfil me.n
ab jahaa.n mere ishaare bhii nahii.n jaa sakte
Farhat Ehsas
Sher
kuchh ishaara jo kiyaa ham ne mulaaqaat ke vaqt
Taal kar kahne lage din hai abhii raat ke vaqt