SEARCH RESULTS
Showing search results for "क़ुर्बत"
Sher MATCHES FOR "क़ुर्बत"
Sher
Naeem Sarmad
Sher
terii qurbat me.n ye pardes se aayaa hu.aa shaKHs
chho.D kar tujh ko kahii.n aur bhii jaa saktaa hai
Maqbool Husain Syed Karnal
Sher
Hammad Niyazi
Sher
terii qurbat me.n guzaare hu.e kuchh lamhe hai.n
dil ko tanhaa.ii kaa ehsaas dilaane vaale
Shahzad Ahmad
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
jab bhii tirii qurbat ke kuchh imkaa.n nazar aa.e
ham KHush hu.e itne kii pareshaa.n nazar aa.e
Sadique Naseem
Sher
terii duurii bhii hai mushkil tirii qurbat bhii muhaal
kis qadar tuu ne mirii jaan sataayaa hai mujhe
Jameel Yusuf
Sher
Zehra Nigaah
Sher
vo ik tilism thaa qurbat me.n us ke umr kaTii
gale lagaa ke use us kii aarzuu karte
Mustafa Zaidi
Sher
Mohsin Asrar
Sher
qurbate.n hote hu.e bhii faaslo.n me.n qaid hai.n
kitnii aazaadii se ham apnii hado.n me.n qaid hai.n
Saleem Kausar
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
itne fareb khaa.e hai.n qurbat me.n yaar kii
'mohsin' fareb aur bhii khaayaa na jaa.egaa
Daood Mohsin
Sher
abhii hai.n qurb ke kuchh aur marhale baaqii
ki tujh ko paa ke hame.n phir tirii tamannaa hai