SEARCH RESULTS
Showing search results for "तरतीब"
Sher MATCHES FOR "तरतीब"
Sher
zindagii kyaa hai anaasir me.n zuhuur-e-tartiib
maut kyaa hai inhii.n ajzaa kaa pareshaa.n honaa
Chakbast Braj Narayan
Sher
tartiib de rahaa thaa mai.n fahrist-e-dushmanaan
yaaro.n ne itnii baat pe KHanjar uThaa liyaa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
anaasir kii ko.ii tartiib qaa.em rah nahii.n saktii
taGayyur Gair-faanii hai taGayyur jaavedaanii hai
Matin Niazi
Sher
dekho mujhe ab merii jagah se na hilaanaa
phir tum mujhe tartiib se rakh kar nahii.n jaate
Danish Naqwi
Sher
Akhtar Shahjahanpuri
Sher
ek jaise roz-o-shab kii dhuul hai a.asaab par
ko.ii be-tartiib lamha merii yaksaanii me.n rakh
Aziz Nabeel
Sher
Raghvendra Dwivedi
Sher
har ruuh pas-e-parda-e-tartiib-e-anaasir
naa-karda gunaaho.n kii sazaa kaaT rahii hai
Jamuna Parsad Rahi
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
mirii fazaa me.n hai tartiib-e-kaa.enaat kuchh aur
ajab nahii.n jo tiraa chaa.nd hai sitaara mujhe
Zafar Iqbal
Sher
kuchh husn ke fasaane tartiib de rahaa huu.n
daftar ulaT rahaa huu.n har phuul har kalii kaa
Nisar Itavi
Sher
zinda rahne kii ye tarkiib nikaalii mai.n ne
apne hone kii KHabar sab se chhupaa lii mai.n ne
Aleena Itrat
Sher
Anjum Khaleeq
Sher
chand tinko.n kii saliiqe se agar tartiib ho
bijliyo.n ko bhii tavaaf-e-aashiyaa.n karnaa pa.De
Siraj Lakhnavi
Sher
rabt hai us ko zamaane se bahut suntaa huu.n
ko.ii tarkiib karuu.n mai.n bhii zamaana ho jaa.uu.n
Kausar Mazhari
Sher
zindagii bhar zinda rahne kii yahii tarkiib hai
us taraf jaanaa nahii.n bilkul jidhar kii sochnaa
Shuja Khaavar
Sher
phir ek shola-e-pur-pech-o-taab bha.Dkegaa
ki chand tinko.n ko tartiib de rahaa huu.n mai.n
Gopal Mittal
Sher
vahshat to sa.ng-o-KHisht kii tartiib le ga.ii
ab fikr ye hai dasht kii vus.at bhii le na jaa.e
Sheen Kaaf Nizam
Sher
reza reza apnaa paikar ik na.ii tartiib me.n
canvas par dekh kar hairaan ho jaanaa pa.Daa
Zaheer Ghazipuri
Sher
adab baKHshaa hai aisaa rabt-e-alfaaz-e-munaasib ne
do-zaanuu hai mirii tab-e-rasaa tarkiib-e-urdu se