SEARCH RESULTS
Showing search results for "तर्जुमा"
Sher MATCHES FOR "तर्जुमा"
Sher
Mustafa Zaidi
Sher
lahuu na ho to qalam tarjumaa.n nahii.n hotaa
hamaare daur me.n aa.nsuu zabaa.n nahii.n hotaa
Waseem Barelvi
Sher
nigaah-e-shauq agar dil kii tarjumaa.n ho jaa.e
to zarra zarra mohabbat kaa raaz-daa.n ho jaa.e
Haya Lakhnavi
Sher
zabaa.n se dil kaa fasaana adaa kiyaa na gayaa
ye tarjumaa.n to banii thii magar banaa na gayaa
Ijtiba Rizvi
Sher
uThaa laayaa kitaabo.n se vo ik alfaaz kaa ja.ngal
sunaa hai ab mirii KHaamoshiyo.n kaa tarjuma hogaa
Nafas Ambalvi
Sher
mai.n kis zabaan me.n us ko kahaa.n talaash karuu.n
jo merii guu.nj kaa lafzo.n se tarjuma kar de
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
samjhii ga.ii jo baat hamaarii Galat to kyaa
yaa.n tarjuma kuchh aur hai aayat kuchh aur hai
Anjum Rumani
Sher
aaj phir chaa.e banaate hu.e vo yaad aayaa
aaj phir chaa.e me.n pattii nahii.n Daalii mai.n ne
Taruna Mishra
Sher
vo ek din jo tujhe sochne me.n guzraa thaa
tamaam umr usii din kii tarjumaanii hai
Abhishek Shukla
Sher
nigaah ko bhii mayassar hai dil kii gahraa.ii
ye tarjumaan-e-mohabbat hai be-zabaa.n na kaho
Shaukat Pardesi
Sher
Figar Unnavi
Sher
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
be-zabaanii tarjumaan-e-shauq behad ho to ho
varna pesh-e-yaar kaam aatii hai taqriire.n kahii.n
Hasrat Mohani
Sher
mai.n lafz-e-KHaam huu.n ko.ii ki tarjumaan-e-Gazal
ye faisla kisii taaza kitaab par Thahraa