SEARCH RESULTS
Showing search results for "फ़साने"
Sher MATCHES FOR "फ़साने"
Sher
bas ik jhijak hai yahii haal-e-dil sunaane me.n
ki teraa zikr bhii aa.egaa is fasaane me.n
Kaifi Azmi
Sher
vo baat saare fasaane me.n jis kaa zikr na thaa
vo baat un ko bahut naa-gavaar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kabhii kahaa na kisii se tire fasaane ko
na jaane kaise KHabar ho ga.ii zamaane ko
Qamar Jalalvi
Sher
abhii se mat mire kirdaar ko maraa hu.aa jaan
tire fasaane me.n zikr aa.egaa dobaaraa miraa
Abdurrahman Wasif
Sher
Shefta Mustafa Khan
Sher
na jaane kah ga.e kyaa aap muskuraane me.n
hai dil ko naaz ki jaan aa ga.ii fasaane me.n
Parvez Shahidi
Sher
rusvaa.ii to vaise bhii taqdiir hai aashiq kii
zillat bhii milii ham ko ulfat ke fasaane se
Saeed Rahi
Sher
ab aage is me.n tumhaaraa bhii naam aa.egaa
jo hukm ho to yahii.n chho.D duu.n fasaane ko
Qamar Jalalvi
Sher
'saudaa' KHudaa ke vaaste kar qissa muKHtasar
apnii to nii.nd u.D ga.ii tere fasaane me.n
Mohammad Rafi Sauda
Sher
rah jaa.egii ye saarii kahaanii yahii.n dharii
ik roz jab mai.n apne fasaane me.n jaa.uu.ngaa
Akbar Masoom
Sher
bol pa.Dtaa to mirii baat mirii hii rahtii
KHaamushii ne hai.n diye sab ko fasaane kyaa kyaa
Ajmal Siddiqui
Sher
ai dil vo aashiqii ke fasaane kidhar ga.e
vo umr kyaa hu.ii vo zamaane kidhar ga.e
Akhtar Shirani
Sher
Aziz Warsi
Sher
ham ne tumhaare Gam ko haqiiqat banaa diyaa
tum ne hamaare Gam ke fasaane banaa.e hai.n
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
'firaaq' dau.D ga.ii ruuh sii zamaane me.n
kahaa.n kaa dard bharaa thaa mire fasaane me.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
mohabbat kaa un ko yaqii.n aa chalaa hai
haqiiqat bane jaa rahe hai.n fasaane
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
Jigar Moradabadi
Sher
kyuu.n ham ko sunaate ho jahannam ke fasaane
is daur me.n jiine kii sazaa kam to nahii.n hai