SEARCH RESULTS
Showing search results for "बिस्मिल"
Sher MATCHES FOR "बिस्मिल"
Sher
sarfaroshii kii tamannaa ab hamaare dil me.n hai
dekhnaa hai zor kitnaa baazu-e-qaatil me.n hai
Bismil Azimabadi
Sher
vaqt aane de dikhaa de.nge tujhe ai aasmaa.n
ham abhii se kyuu.n bataa.e.n kyaa hamaare dil me.n hai
Bismil Azimabadi
Sher
vo aks ban ke mirii chashm-e-tar me.n rahtaa hai
ajiib shaKHs hai paanii ke ghar me.n rahtaa hai
Bismil Sabri
Sher
ham ne kaa.nTo.n ko bhii narmii se chhu.aa hai aksar
log bedard hai.n phuulo.n ko masal dete hai.n
Bismil Saeedi
Sher
na apne zabt ko rusvaa karo sataa ke mujhe
KHudaa ke vaaste dekho na muskuraa ke mujhe
Bismil Azimabadi
Sher
sar jis pe na jhuk jaa.e use dar nahii.n kahte
har dar pe jo jhuk jaa.e use sar nahii.n kahte
Bismil Saeedi
Sher
tum sun ke kyaa karoge kahaanii Gariib kii
jo sab kii sun rahaa hai kahe.nge usii se ham
Bismil Azimabadi
Sher
Thokar kisii patthar se agar khaa.ii hai mai.n ne
manzil kaa nishaa.n bhii usii patthar se milaa hai
Bismil Saeedi
Sher
kiyaa tabaah to dillii ne bhii bahut 'bismil'
magar KHudaa kii qasam lucknow ne luuT liyaa
Bismil Saeedi
Sher
bismil ke ta.Dapne kii adaa.o.n me.n nasha thaa
mai.n haath me.n talvaar liye jhuum rahaa thaa
Adil Mansuri
Sher
idhar udhar mirii aa.nkhe.n tujhe pukaartii hai.n
mirii nigaah nahii.n hai zabaan hai goyaa
Bismil Saeedi
Sher
majbuuriyo.n ko apnii kahe.n kyaa kisii se ham
laa.e ga.e hai.n, aa.e nahii.n hai.n KHushii se ham
Bismil Azimabadi
Sher
allaah tere haath hai ab aabruu-e-shauq
dam ghuT rahaa hai vaqt kii raftaar dekh kar
Bismil Azimabadi
Sher
KHushbuu ko phailne kaa bahut shauq hai magar
mumkin nahii.n havaa.o.n se rishta kiye baGair
Bismil Saeedi
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
dekhaa na tum ne aa.nkh uThaa kar bhii ek baar
guzre hazaar baar tumhaarii galii se ham