SEARCH RESULTS
Showing search results for "बीमार-ए-उल्फ़त"
Sher MATCHES FOR "बीमार-ए-उल्फ़त"
Sher
isii ko pii ke hotii hai shifaa biimar-e-ulfat ko
davaa qaatil tire talvaar ke paanii ko kahte hai.n
Muztar Khairabadi
Sher
chashm-e-dilbar ne dil-e-zaar kii dildaarii kii
aah biimaar ne biimaar kii Gam-KHvaarii kii
Sheikh Bimar Ali Bakhsh
Sher
gar aap pahle rishta-e-ulfat na to.Dte
mar miT ke ham bhii KHair nibhaate kisii tarah
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
Shah Naseer
Sher
namalii aur na duudii hai na manshaarii hai
nabz-e-biimaar-e-mohabbat kii hai raftaar judaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
nahii.n bachtaa hai biimaar-e-mohabbat
sunaa hai ham ne 'goyaa' kii zabaanii
Goya Faqir Mohammad
Sher
tere biimaar-e-mohabbat kii ye haalat pahu.nchii
ki haTaayaa gayaa takiya bhii sirhaane vaalaa
Shad Azimabadi
Sher
to.Daa hai dam abhii abhii biimaar-e-hijr ne
aa.e magar huzuur ko taaKHiir ho ga.ii
Jagat Mohan Lal Ravan
Sher
ai chaaragaro paas tumhaare na milegii
biimaar-e-mohabbat kii davaa aur hii kuchh hai
Asghar Velori
Sher
biimaar-e-Gam kii chaaragarii kuchh zaruur hai
vo dard dil me.n de ki masiihaa kahe.n jise
Aasi Ghazipuri
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
kise fursat ki farz-e-KHidmat-e-ulfat bajaa laa.e
na tum bekaar baiThe ho na ham bekaar baiThe hai.n
Azad Ansari
Sher
baad-e-tark-e-ulfat bhii yuu.n to ham jiye lekin
vaqt be-tarah biitaa umr be-sabab guzrii
Zuhoor Nazar
Sher
raaz-e-Gam-e-ulfat ko ye duniyaa na samajh le
aa.nsuu mire daaman me.n tumhaare bhii mile hai.n
Ali Zaheer Rizvi Lakhnavi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ashk-e-Gam-e-ulfat me.n ik raaz-e-nihaanii hai
pii jaa.o to amrit hai bah jaa.e to paanii hai