SEARCH RESULTS
Showing search results for "मन-सागर"
Sher MATCHES FOR "मन-सागर"
Sher
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
Sher
jis bazm me.n saaGar ho na sahbaa ho na KHum ho
rindo.n ko tasallii hai ki us bazm me.n tum ho
Unknown
Sher
denaa vo us kaa saaGar-e-mai yaad hai 'nizaam'
mu.nh pher kar idhar ko udhar ko ba.Dhaa ke haath
Nizam Rampuri
Sher
Shah Naseer
Sher
huuro.n kii talab aur mai o saaGar se hai nafrat
zaahid tire irfaan se kuchh bhuul hu.ii hai
Saghar Siddiqui
Sher
yahii sahbaa yahii saaGar yahii paimaana hai
chashm-e-saaqii hai ki mai-KHaane kaa mai-KHaana hai
Saghar Nizami
Sher
Saghar Nizami
Sher
rahm kar masto.n pe kab tak taaq par rakkhegaa tuu
saaGar-e-mai saaqiyaa zaahid kaa iimaa.n ho gayaa
Qalaq Merathi
Sher
Dua Dabaivi
Sher
vo qulqul-e-miinaa me.n charche mirii tauba ke
aur shiisha-o-saaGar kii mai-KHaane me.n sargoshii
Bedam Shah Warsi
Sher
tirii zulf kii shab kaa bedaar mai.n huu.n
tujh aa.nkho.n ke saaGar kaa mai-KHvaar mai.n huu.n
Wali Uzlat
Sher
jaan jaane ko hai aur raqs me.n parvaana hai
kitnaa ra.ngiin mohabbat tiraa afsaana hai
Saghar Khayyami
Sher
Saghar Siddiqui
Sher
jis ahd me.n luT jaa.e faqiiro.n kii kamaa.ii
us ahd ke sultaan se kuchh bhuul hu.ii hai
Saghar Siddiqui
Sher
Jagan Nath Azad
Sher
hashr me.n kaun gavaahii mirii degaa 'saaGar'
sab tumhaare hii taraf-daar nazar aate hai.n
Saghar Siddiqui
Sher
safiine Duub ga.e kitne dil ke saagar me.n
KHudaa kare tirii yaado.n kii naav chaltii rahe
Hasan Akhtar Jaleel
Sher
kashmiir kii vaadii me.n be-parda jo nikle ho
kyaa aag lagaa.oge barfiilii chaTaano.n me.n