SEARCH RESULTS
Showing search results for "रहमत"
Sher MATCHES FOR "रहमत"
Sher
maa.n baap aur ustaad sab hai.n KHudaa kii rahmat
hai rok-Tok un kii haq me.n tumhaare ne.amat
Altaf Hussain Hali
Sher
terii baKHshish ke bharose pe KHataa.e.n kii hai.n
terii rahmat ke sahaare ne gunahgaar kiyaa
Mubarak Azimabadi
Sher
mire gunaah ziyaada hai.n yaa tirii rahmat
kariim tuu hii bataa de hisaab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
Sher
gunaahgaar to rahmat ko mu.nh dikhaa na sakaa
jo be-gunaah thaa vo bhii nazar milaa na sakaa
Nushur Wahidi
Sher
yaa-rab tirii rahmat se maayuus nahii.n 'faanii'
lekin tirii rahmat kii taaKHiir ko kyaa kahiye
Fani Badayuni
Sher
puuchhegaa jo KHudaa to ye kah de.nge hashr me.n
haa.n haa.n gunah kiyaa tirii rahmat ke zor par
Unknown
Sher
eid kaa chaa.nd jo dekhaa to tamannaa lipTii
un se taqriib-e-mulaaqaat kaa rishta niklaa
Rahmat Qarni
Sher
Ameer Minai
Sher
Kaifi Hyderabadi
Sher
huu.n KHataa-kaar siyaahkaar gunahgaar magar
kis ko baKHshe tirii rahmat jo gunahgaar na ho
Jigar Moradabadi
Sher
faqat umiid hai baKHshish kii terii rahmat se
vagarna afv ke qaabil mire gunaah nahii.n
Abad Lakhnavi
Sher
zaahid to baKHshe jaa.e.n gunahgaar mu.nh take.n
ai rahmat-e-KHudaa tujhe aisaa na chaahiye
Muztar Khairabadi
Sher
Josh Malihabadi
Sher
kyaa jaane shaiKH qadr hamaarii sharaab kii
har ghuu.nT me.n pa.Dii hu.ii rahmat KHudaa kii hai