SEARCH RESULTS
Showing search results for "राहगीर"
Sher MATCHES FOR "राहगीर"
Sher
ab to utnii bhii mayassar nahii.n mai-KHaane me.n
jitnii ham chho.D diyaa karte the paimaane me.n
Divakar Rahi
Sher
har ek baat ke yuu.n to diye javaab us ne
jo KHaas baat thii har baar ha.ns ke Taal gayaa
Ahmad Rahi
Sher
Divakar Rahi
Sher
Rahi Masoom Raza
Sher
charaaG-e-raahguzar laakh taabnaak sahii
jalaa ke apnaa diyaa raushnii makaan me.n laa
Akbar Hyderabadi
Sher
Gusse me.n barhamii me.n Gazab me.n itaab me.n
KHud aa ga.e hai.n vo mire KHat ke javaab me.n
Divakar Rahi
Sher
mai.n to masjid se chalaa thaa kisii ka.aba kii taraf
dukh to ye hai ki ibaadat mirii bad-naam hu.ii
Ahmad Rahi
Sher
ye charaaG jaise lamhe kahii.n raa.egaa.n na jaa.e.n
ko.ii KHvaab dekh Daalo ko.ii inqilaab laa.o
Rahi Masoom Raza
Sher
kaun taaqo.n pe rahaa kaun sar-e-raahguzar
shahr ke saare charaaGo.n ko havaa jaantii hai
Ahmad Faraz
Sher
vaqaar-e-KHuun-e-shahiidaan-e-karbalaa kii qasam
yaziid morcha jiitaa hai ja.ng haaraa hai
Divakar Rahi
Sher
kahii.n ye apnii mohabbat kii intihaa to nahii.n
bahut dino.n se tirii yaad bhii nahii.n aa.ii
Ahmad Rahi
Sher
ab aur der na kar hashr barpaa karne me.n
mirii nazar tire diidaar ko tarastii hai
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
Allama Iqbal
Sher
is intizaar me.n baiThe hai.n un kii mahfil me.n
ki vo nigaah uThaa.e.n to ham salaam kare.n
Divakar Rahi
Sher
chale the jis kii taraf vo nishaan KHatm hu.aa
safar adhuuraa rahaa aasmaan KHatm hu.aa