SEARCH RESULTS
Showing search results for "रिवायतें"
Sher MATCHES FOR "रिवायतें"
Sher
zinda rakhii.n buzurgo.n kii ham ne rivaayate.n
dushman se bhii mile to mile aajizii se ham
Majid Ali Kavish
Sher
bulaa rahe ho hame.n bhii magar KHayaal rahe
hamaare saath hamaarii rivaayate.n ho.ngii
Waqar Vasiqi
Sher
duniyaa kii rivaayaat se begaana nahii.n huu.n
chhe.Do na mujhe mai.n ko.ii diivaana nahii.n huu.n
Shakeel Badayuni
Sher
ham buzurgo.n kii rivaayat se ju.De hai.n bhaa.ii
nekiyaa.n kar ke kabhii phal nahii.n maa.ngaa karte
Tufail Chaturvedi
Sher
ahl-e-dil ne kiye ta.amiir haqiiqat ke sutuu.n
ahl-e-duniyaa ko rivaayaat pe ronaa aayaa
Zaki kakorvi
Sher
dil to rotaa rahe aur aa.nkh se aa.nsuu na bahe
ishq kii aisii rivaayaat ne dil to.D diyaa
Sudarshan Faakir
Sher
jin se afsaana-e-hastii me.n tasalsul thaa kabhii
un mohabbat kii rivaayaat ne dam to.D diyaa
Saghar Siddiqui
Sher
ham ne to luT ke mohabbat kii rivaayat rakh lii
un se to pochhiye vo kis liye pachhtaate rahe
Mustafa Zaidi
Sher
dil ne har daur me.n duniyaa se baGaavat kii hai
dil se tum rasm-o-rivaayaat kii baate.n na karo
Abdul Mateen Niyaz
Sher
vo kyaa gayaa ki har ik shaKHs rah gayaa tanhaa
usii ke dam se thii.n baaham rifaaqate.n saarii
Manzoor Arif
Sher
Nasir Shahzad
Sher
Saleem Kausar
Sher
jhuuTaa samaaj rasm-o-rivaayaat sarhade.n
ab bhii hai.n raah-e-ishq me.n diivaar kii tarah
Aleena Itrat
Sher
Murtaza Barlas
Sher
hamaare shahr kii rivaayato.n me.n ek ye bhii thaa
du.aa se qabl puuchhnaa asar me.n kitnii der hai
Ahmad Shahryar
Sher
rivaayato.n ko saliibo.n se kar diyaa aazaad
yahii rasan to sar-e-daar to.D dii mai.n ne
Tanveer Ahmad Alvi
Sher
ye rivaayat hai kitaabo.n me.n utaare jaa.e.n
vo jo KHushbuu ke safar me.n kahii.n maare jaa.e.n