SEARCH RESULTS
Showing search results for "शहर-ए-मलबूस"
Sher MATCHES FOR "शहर-ए-मलबूस"
Sher
log mujh ko mire aaha.ng se pahchaan ga.e
kaun badnaam rahaa shahr-e-suKHan me.n aisaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
baal apne ba.Dhaate hai.n kis vaaste diivaane
kyaa shahr-e-mohabbat me.n hajjaam nahii.n hotaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
is shahr-e-be-charaaG me.n jaa.egii tuu kahaa.n
aa ai shab-e-firaaq tujhe ghar hii le chale.n
Nasir Kazmi
Sher
kuchh yaadgaar-e-shahr-e-sitamgar hii le chale.n
aa.e hai.n is galii me.n to patthar hii le chale.n
Nasir Kazmi
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
kisii kii yaad manaane me.n iid guzregii
so shahr-e-dil me.n bahut duur tak udaasii hai
Ishaq Virdag
Sher
ik ghar bhii salaamat nahii.n ab shahr-e-vafaa me.n
tuu aag lagaane ko kidhar jaa.e hai pyaare
Kaleem Aajiz
Sher
is shahr-e-fusuu.n-gar ke azaab aur, savaab aur
hijr aur tarah kaa hai, visaal aur tarah kaa
Khalid Moin
Sher
kyuu.n mataa-e-dil ke luT jaane kaa ko.ii Gam kare
shahr-e-dillii me.n to aise vaaqiye hote rahe
Zubair Rizvi
Sher
marsiye dil ke ka.ii kah ke diye logo.n ko
shahr-e-dillii me.n hai sab paas nishaanii us kii
Meer Taqi Meer
Sher
udaasiyaa.n hai.n jo din me.n to shab me.n tanhaa.ii
basaa ke dekh liyaa shahr-e-aarzuu mai.n ne
Junaid Hazin Lari
Sher
ka.abe ko jaataa kis liye hindostaa.n se mai.n
kis but me.n shahr-e-hind ke shaan-e-KHudaa na thii
Rind Lakhnavi
Sher
ye shahr-e-tilismaat hai kuchh kah nahii.n sakte
pahluu me.n kha.Daa shaKHs farishta ki balaa hai
Jaleel 'Aali'
Sher
shahr-e-lahore se kuchh duur nahii.n hai dehlii
ek sarhad hai kisii vaqt bhii miT saktii hai
Unknown
Sher
arz-e-dakan me.n jaan to dillii me.n dil banii
aur shahr-e-lucknow me.n hinaa ban ga.ii Gazal