SEARCH RESULTS
Showing search results for "हराम"
Sher MATCHES FOR "हराम"
Sher
jo aur kuchh ho tirii diid ke sivaa manzuur
to mujh pe KHvaahish-e-jannat haraam ho jaa.e
Hasrat Mohani
Sher
saaqii hame.n qasam hai tirii chashm-e-mast kii
tujh bin jo KHvaab me.n bhii piye.n mai haraam ho
Waliullah Muhib
Sher
tire suluuk kaa Gam sub.h-o-shaam kyaa karte
zaraa sii baat pe jiinaa haraam kyaa karte
Rais Siddiqui
Sher
be-aarzuu bhii KHush hai.n zamaane me.n baaz log
yaa.n aarzuu ke saath bhii jiinaa haraam hai
Shuja Khaavar
Sher
Jaun Eliya
Sher
raqiib qatl hu.aa us kii teG-e-abruu se
haraam-zaada thaa achchhaa hu.aa halaal hu.aa
Aagha Akbarabadi
Sher
Bashir Badr
Sher
milii hai duKHtar-e-raz la.D-jhaga.D ke qaazii se
jihaad kar ke jo aurat mile haraam nahii.n
Ameer Minai
Sher
ishq me.n shikva kufr hai aur har iltijaa haraam
to.D de kaasa-e-muraad ishq gadaagarii nahii.n
Asar Rampuri
Sher
nahii.n zaruur ki mar jaa.e.n jaa.n-nisaar tere
yahii hai maut ki jiinaa haraam ho jaa.e
Fani Badayuni
Sher
girah se kuchh nahii.n jaataa hai pii bhii le zaahid
mile jo muft to qaazii ko bhii haraam nahii.n
Ameer Minai
Sher
zaahid sharaab-e-naab ho yaa baada-e-tuhuur
piine hii par jab aa.e haraam o halaal kyaa
Hafeez Jaunpuri
Sher
nazar milaa ke kahaa mujh se mere saaqii ne
haraam kahte hai.n jis ko ye vo sharaab nahii.n
Unknown
Sher
janaab-e-shaiKH ko suujhe na phir haraam o halaal
abhii piye.n jo mile muft kii sharaab kahii.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
haram-e-paak bhii allaah bhii qur.aan bhii ek
kuchh ba.Dii baat thii hote jo musalmaan bhii ek