SEARCH RESULTS
Showing search results for "a.nkhaa.n"
Sher MATCHES FOR "a.nkhaa.n"
Sher
tumhaarii aa.nkho.n kii tauhiin hai zaraa socho
tumhaaraa chaahne vaalaa sharaab piitaa hai
Munawwar Rana
Sher
hame.n hai shauq ki be-parda tum ko dekhe.nge
tumhe.n hai sharm to aa.nkho.n pe haath dhar lenaa
Dagh Dehlvi
Sher
Munawwar Rana
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
log kahte hai.n ki tuu ab bhii KHafaa hai mujh se
terii aa.nkho.n ne to kuchh aur kahaa hai mujh se
Jan Nisar Akhtar
Sher
tumhe.n zaruur ko.ii chaahato.n se dekhegaa
magar vo aa.nkhe.n hamaarii kahaa.n se laa.egaa
Bashir Badr
Sher
Bashir Badr
Sher
KHudaa bachaa.e tirii mast mast aa.nkho.n se
farishta ho to bahak jaa.e aadmii kyaa hai
Khumar Barabankavi
Sher
kabhii kabhii to chhalak pa.Dtii hai.n yuu.nhii aa.nkhe.n
udaas hone kaa ko.ii sabab nahii.n hotaa
Bashir Badr
Sher
phuul to phuul hai.n aa.nkho.n se ghire rahte hai.n
kaa.nTe be-kaar hifaazat me.n lage rahte hai.n
Waseem Barelvi
Sher
ye zaruurii hai ki aa.nkho.n kaa bharam qaa.em rahe
nii.nd rakkho yaa na rakkho KHvaab meyaarii rakho
Rahat Indori
Sher
ek aa.nsuu bhii hukuumat ke liye KHatra hai
tum ne dekhaa nahii.n aa.ankho.n kaa samundar honaa
Munawwar Rana
Sher
aaj phir nii.nd ko aa.nkho.n se bichha.Dte dekhaa
aaj phir yaad ko.ii choT puraanii aa.ii