SEARCH RESULTS
Showing search results for "aah"
Sher MATCHES FOR "aah"
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
aadat ke baa'd dard bhii dene lagaa mazaa
ha.ns ha.ns ke aah aah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Sher
Zaheer Kashmiri
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
kuchh dard kii shiddat hai kuchh paas-e-mohabbat hai
ham aah to karte hai.n fariyaad nahii.n karte
Fana Nizami Kanpuri
Sher
zabt kartaa huu.n to ghuTtaa hai qafas me.n miraa dam
aah kartaa huu.n to sayyaad KHafaa hotaa hai
Qamar Jalalvi
Sher
e'tibaar-e-ishq kii KHaana-KHaraabii dekhnaa
Gair ne kii aah lekin vo KHafaa mujh par hu.aa
Mirza Ghalib
Sher
uff vo tuufaan-e-shabaab aah vo siina teraa
jise har saa.ns me.n dab dab ke ubhartaa dekhaa
Andaleeb Shadani
Sher
Andaleeb Shadani
Sher
'attaar' ho 'ruumii' ho 'raazii' ho 'Gazaalii' ho
kuchh haath nahii.n aataa be-aah-e-sahar-gaahii
Allama Iqbal
Sher
dard ulfat kaa na ho to zindagii kaa kyaa mazaa
aah-o-zaarii zindagii hai be-qaraarii zindagii