SEARCH RESULTS
Showing search results for "aap"
Sher MATCHES FOR "aap"
Sher
aap pahluu me.n jo baiThe.n to sambhal kar baiThe.n
dil-e-betaab ko aadat hai machal jaane kii
Jaleel Manikpuri
Sher
jo kahaa mai.n ne ki pyaar aataa hai mujh ko tum par
ha.ns ke kahne lagaa aur aap ko aataa kyaa hai
Akbar Allahabadi
Sher
aap daulat ke taraazuu me.n dilo.n ko taule.n
ham mohabbat se mohabbat kaa sila dete hai.n
Sahir Ludhianvi
Sher
apnaa zamaana aap banaate hai.n ahl-e-dil
ham vo nahii.n ki jin ko zamaana banaa gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
jaate jaate aap itnaa kaam to kiije miraa
yaad kaa saaraa sar-o-saamaa.n jalaate jaa.iye
Jaun Eliya
Sher
aap ne tasviir bhejii mai.n ne dekhii Gaur se
har adaa achchhii KHamoshii kii adaa achchhii nahii.n
Jaleel Manikpuri
Sher
Saghar Azmi
Sher
Dhuu.nDtaa phirtaa huu.n mai.n 'iqbaal' apne aap ko
aap hii goyaa musaafir aap hii manzil huu.n mai.n
Allama Iqbal
Sher
mujhe tanhaa.ii kii aadat hai merii baat chho.De.n
ye liije aap kaa ghar aa gayaa hai haat chho.De.n