SEARCH RESULTS
Showing search results for "aariz"
Sher MATCHES FOR "aariz"
Sher
siirat na ho to aariz-o-ruKHsaar sab Galat
KHushbuu u.Dii to phuul faqat rang rah gayaa
Zaheer Kashmiri
Sher
kyaa qayaamat hai ki aariz un ke niile pa.D ga.e
ham ne to bosa liyaa thaa KHvaab me.n tasviir kaa
Unknown
Sher
vo aa.nkh kyaa jo aariz o ruKH par Thahar na jaa.e
vo jalva kyaa jo diida o dil me.n utar na jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Sher
Shahid Ahsan Moradabadi
Sher
Ahmad Husain Mail
Sher
aariz pe tere merii mohabbat kii surKHiyaa.n
merii jabii.n pe terii vafaa kaa Guruur hai
Khalilur Rahman Azmi
Sher
dil miraa jalva-e-aariz ne bahalne na diyaa
chandni-chowk se zaKHmii ko nikalne na diyaa
Unknown
Sher
nikhar ga.e hai.n pasiine me.n bhiig kar aariz
gulo.n ne aur bhii shabnam se taazgii paa.ii
Ghulam Rabbani Taban
Sher
apnii KHuddaarii to paamaal nahii.n kar sakte
us kaa number hai magar kaal nahii.n kar sakte
Nadir Areez
Sher
bosa-e-aariz mujhe dete hu.e Dartaa hai kyuu.n
luu.ngaa kyaa nok-e-zabaa.n se tere ruKH kaa til uThaa
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
aariz se tire sub.h kii tohmat na uThegii
zulfo.n pe tirii shaam kaa ilzaam rahegaa
Ziauddin Ahmad Shakeb
Sher
aariz-e-naazuk pe un ke rang saa kuchh aa gayaa
in gulo.n ko chhe.D kar ham ne gulistaa.n kar diyaa
Asghar Gondvi
Sher
phailaa hu.aa hai husn-e-aariz-e-raushan naqaab me.n
kyaa kyaa ta.Dap rahii hai tajallii hijaab me.n
Unknown
Sher
KHaal-o-aariz kaa tasavvur hai hamaare dil me.n
ek hinduu bhii hai ka.abe me.n musalmaan ke saath
Muztar Khairabadi
Sher
lamhaat-e-vasl yaad jo aa.e shab-e-firaaq
yak-laKHt surKH ho ga.e aariz be-iKHtiyaar
Deepak Purohit
Sher
aariz se us ke zulf me.n kyuu.n-kar hai raushnii
zulmaat me.n to naam nahii.n aaftaab kaa