SEARCH RESULTS
Showing search results for "ahmad mushtaq"
Sher MATCHES FOR "ahmad mushtaq"
Sher
paanii me.n aks aur kisii aasmaa.n kaa hai
ye naav kaun sii hai ye dariyaa kahaa.n kaa hai
Ahmad Mushtaq
Sher
ek lamhe me.n bikhar jaataa hai taanaa-baanaa
aur phir umr guzar jaatii hai yakjaa.ii me.n
Ahmad Mushtaq
Sher
tanhaa.ii me.n karnii to hai ik baat kisii se
lekin vo kisii vaqt akelaa nahii.n hotaa
Ahmad Mushtaq
Sher
tuu agar paas nahii.n hai kahii.n maujuud to hai
tere hone se ba.De kaam hamaare nikle
Ahmad Mushtaq
Sher
KHair badnaam to pahle bhii bahut the lekin
tujh se milnaa thaa ki par lag ga.e rusvaa.ii ko
Ahmad Mushtaq
Sher
na.e diivaano.n ko dekhe.n to KHushii hotii hai
ham bhii aise hii the jab aa.e the viiraane me.n
Ahmad Mushtaq
Sher
ahl-e-havas to KHair havas me.n hu.e zaliil
vo bhii hu.e KHaraab, mohabbat jinho.n ne kii
Ahmad Mushtaq
Sher
ik raat chaa.ndnii mire bistar pe aa.ii thii
mai.n ne taraash kar tiraa chehra banaa diyaa
Ahmad Mushtaq
Sher
mil hii jaa.egaa kabhii dil ko yaqii.n rahtaa hai
vo isii shahr kii galiyo.n me.n kahii.n rahtaa hai
Ahmad Mushtaq
Sher
chaa.nd bhii niklaa sitaare bhii baraabar nikle
mujh se achchhe to shab-e-Gam ke muqaddar nikle
Ahmad Mushtaq
Sher
rone lagtaa huu.n mohabbat me.n to kahtaa hai ko.ii
kyaa tire ashko.n se ye jangal haraa ho jaa.egaa