SEARCH RESULTS
Showing search results for "ahmar"
Sher MATCHES FOR "ahmar"
Sher
aur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaa
raahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Ahmad Faraz
Sher
kitne rishto.n kaa mai.n ne bharam rakh liyaa
ik ta'alluq se daaman chhu.Daate hu.e
Ahmar Nadeem
Sher
pii baada-e-ahmar to ye kahne lagaa gul-ruu
mai.n surKH huu.n tum surKH zamii.n surKH zamaa.n surKH
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
ye kaisii fasaahat ki samajh me.n nahii.n aatii
tahriir-e-mohabbat zaraa aasaan likhaa kar
Ahmar Nadeem
Sher
maut bar-haq hai jab aa jaa.e hame.n kyaa lekin
zindagii ham tirii raftaar se Dar jaate hai.n
Ahmar Nadeem
Sher
shaayad mai.n apne aap se Gaafil na rah sakaa
kuchh log merii zaat se mansuub ho ga.e
Ahmar Nadeem
Sher
terii KHvaahish bhii na ho tujh se shikaayat bhii na ho
itnaa ehsaan mirii jaan nahii.n karnaa thaa
Ahmar Nadeem
Sher
ahvaal mere shor-e-salaasil ke sun rafiiq
jaise ravaa.n-davaa.n ko.ii dariyaa qafas me.n hai
Ahmar Nadeem
Sher
ham aise baKHt ke maare ki shahr me.n aa kar
libaas-e-gardish-e-dauraa.n bhii taar taar kiyaa
Ahmar Nadeem
Sher
ham apne aap me.n rahte nahii.n hai.n dam bhar ko
hamaare vaaste diivaar-o-dar kii zahmat kyaa