SEARCH RESULTS
Showing search results for "ali sardar jafari ebooks"
Sher MATCHES FOR "ali sardar jafari ebooks"
Sher
shikaayate.n bhii bahut hai.n hikaayate.n bhii bahut
mazaa to jab hai ki yaaro.n ke ruu-ba-ruu kahiye
Ali Sardar Jafri
Sher
Ali Sardar Jafri
Sher
inqalaab aa.egaa raftaar se maayuus na ho
bahut aahista nahii.n hai jo bahut tez nahii.n
Ali Sardar Jafri
Sher
kaam ab ko.ii na aa.egaa bas ik dil ke sivaa
raaste band hai.n sab kuucha-e-qaatil ke sivaa
Ali Sardar Jafri
Sher
daaman jhaTak ke vaadii-e-Gam se guzar gayaa
uTh uTh ke dekhtii rahii gard-e-safar mujhe
Ali Sardar Jafri
Sher
isii liye to hai zindaa.n ko justujuu merii
ki muflisii ko sikhaa.ii hai sar-kashii mai.n ne
Ali Sardar Jafri
Sher
bahut barbaad hai.n lekin sadaa-e-inqalaab aa.e
vahii.n se vo pukaar uThegaa jo zarra jahaa.n hogaa
Ali Sardar Jafri
Sher
maqtal-e-shauq ke aadaab niraale hai.n bahut
dil bhii qaatil ko diyaa karte hai.n sar se pahle
Ali Sardar Jafri
Sher
tuu vo bahaar jo apne chaman me.n aavaara
mai.n vo chaman jo bahaaraa.n ke intizaar me.n hai
Ali Sardar Jafri
Sher
phuuTne vaalii hai mazduur ke maathe se kiran
surKH parcham ufuq-e-sub.h pe lahraate hai.n
Ali Sardar Jafri
Sher
Ali Sardar Jafri
Sher
Ali Sardar Jafri
Sher
shab ke sannaaTe me.n ye kis kaa lahuu gaataa hai
sarhad-e-dard se ye kis kii sadaa aatii hai
Ali Sardar Jafri
Sher
ye mai-kada hai yahaa.n hai.n gunaah jaam-ba-dast
vo madrasa hai vo masjid vahaa.n milegaa savaab
Ali Sardar Jafri
Sher
Ali Sardar Jafri
Sher
Ali Sardar Jafri
Sher
partav se jis ke aalam-e-imkaa.n bahaar hai
vo nau-bahaar-e-naaz abhii rahguzar me.n hai
Ali Sardar Jafri
Sher
dil-o-nazar ko abhii tak vo de rahe hai.n fareb
tasavvuraat-e-kuhan ke qadiim but-KHaane