SEARCH RESULTS
Showing search results for "anjuman-aaraa.ii"
Sher MATCHES FOR "anjuman-aaraa.ii"
Sher
hai yahaa.n kis ko dimaaG anjuman-aaraa.ii kaa
apne rahne ko makaa.n chaahiye tanhaa.ii kaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
is aalam-e-viiraa.n me.n kyaa anjuman-aaraa.ii
do roz kii mahfil hai ik umr kii tanhaa.ii
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
tuu hai aur aish hai aur anjuman-aaraa.ii hai
mai.n huu.n aur ranj hai aur gosha-e-tanhaa.ii hai
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
KHalvat-e-naaz me.n kuchh aur hii raunaq hotii
ko.ii KHalvat me.n agar anjuman-aaraa hotaa
Nazneen Begum Naz
Sher
kis kii jabii.n pe hai.n ye sitaare araq araq
kis ke lahuu se chaa.nd kaa daaman hai daaG daaG
Anjum Rumani
Sher
'arzii insaaf kii ham ne bhii lagaa rakkhii hai
dekhiye zill-e-ilaahii hame.n kab puuchhte hai.n