SEARCH RESULTS
Showing search results for "asar"
Sher MATCHES FOR "asar"
Sher
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii hai
par nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii hai
Allama Iqbal
Sher
log kahte hai.n mohabbat me.n asar hotaa hai
kaun se shahr me.n hotaa hai kidhar hotaa hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ishq kii choT kaa kuchh dil pe asar ho to sahii
dard kam ho yaa ziyaada ho magar ho to sahii
Jalal Lakhnavi
Sher
Asar Lakhnavi
Sher
Aashufta Changezi
Sher
maa.ngaa kare.nge ab se du.aa hijr-e-yaar kii
aaKHir to dushmanii hai asar ko du.aa ke saath
Momin Khan Momin
Sher
hotii nahii.n qubuul du.aa tark-e-ishq kii
dil chaahtaa na ho to zabaa.n me.n asar kahaa.n
Altaf Hussain Hali
Sher
kyaa kahuu.n kis tarah se jiitaa huu.n
Gam ko khaataa huu.n aa.nsuu piitaa huu.n
Sayyad Mohammad Meer Asar
Sher
dekhne aa.e the vo apnii mohabbat kaa asar
kahne ko ye hai ki aa.e hai.n ayaadat kar ke
Hasrat Mohani
Sher
mai.n zindagii kii du.aa maa.ngne lagaa huu.n bahut
jo ho sake to du.aa.o.n ko be-asar kar de
Iftikhar Arif
Sher
idhar se aaj vo guzre to mu.nh phere hu.e guzre
ab un se bhii hamaarii be-kasii dekhii nahii.n jaatii
Asar Lakhnavi
Sher
Izhar Asar
Sher
asar bhii le rahaa huu.n terii chup kaa
tujhe qaa.il bhii kartaa jaa rahaa huu.n