SEARCH RESULTS
Showing search results for "baal"
Sher MATCHES FOR "baal"
Sher
jab yaar ne uThaa kar zulfo.n ke baal baa.ndhe
tab mai.n ne apne dil me.n laakho.n KHayaal baa.ndhe
Mohammad Rafi Sauda
Sher
Nasir Kazmi
Sher
shah-zor apne zor me.n girtaa hai misl-e-barq
vo tifl kyaa giregaa jo ghuTno.n ke bal chale
Mirza Azeem Beg 'Azeem'
Sher
baal apne ba.Dhaate hai.n kis vaaste diivaane
kyaa shahr-e-mohabbat me.n hajjaam nahii.n hotaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
yaar sab jam.a hu.e raat kii KHaamoshii me.n
ko.ii ro kar to ko.ii baal banaa kar aayaa
Ahmad Mushtaq
Sher
jab us kii zulf me.n pahlaa safed baal aayaa
tab us ko pahlii mulaaqaat kaa KHayaal aayaa
Shahzad Ahmad
Sher
us naqsh-e-paa ke sajde ne kyaa kyaa kiyaa zaliil
mai.n kuucha-e-raqiib me.n bhii sar ke bal gayaa
Momin Khan Momin
Sher
allaah-re us gul kii kalaa.ii kii nazaakat
bal khaa ga.ii jab bojh pa.Daa ra.ng-e-hinaa kaa
Ameer Minai
Sher
auro.n ke bal pe bal na kar itnaa na chal nikal
bal hai to bal ke bal pe tuu kuchh apne bal ke chal
Bahadur Shah Zafar
Sher
us kii aadat hai mere baal bigaa.De rakhnaa
us kii koshish hai kisii aur ko achchhaa na laguu.n
Unknown
Sher
baal apne us parii-ruu ne sa.nvaare raat bhar
saa.np loTe saik.Do.n dil par hamaare raat bhar
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
na.ii fazaa ke parinde hai.n kitne matvaale
ki baal-o-par se bhii pahle u.Daan maa.ngte hai.n
Manzoor Hashmi
Sher
ruKHsat hu.aa vo ashk hamaare nikal aa.e
KHurshiid ke chhupte hii sitaare nikal aa.e
Bal Mukund Besabr
Sher
Mahboob Khizan
Sher
kabhii libaas kabhii baal dekhne vaale
tujhe pata hii nahii.n ham sa.nvar chuke dil se