SEARCH RESULTS
Showing search results for "badalne"
Sher MATCHES FOR "badalne"
Sher
burii sarisht na badlii jagah badalne se
chaman me.n aa ke bhii kaa.nTaa gulaab ho na sakaa
Arzoo Lakhnavi
Sher
kisii ko saal-e-nau kii kyaa mubaarakbaad dii jaa.e
calender ke badalne se muqaddar kab badaltaa hai
Aitbar Sajid
Sher
baat vo kahiye ki jis baat ke sau pahluu ho.n
ko.ii pahluu to rahe baat badalne ke liye
Bekhud Dehlvi
Sher
Zafar Ali Khan
Sher
kis naaz se kahte hai.n vo jhu.njhlaa ke shab-e-vasl
tum to hame.n karvaT bhii badalne nahii.n dete
Akbar Allahabadi
Sher
manzar ko kisii tarah badalne kii du.aa de
de raat kii ThanDak ko pighalne kii du.aa de
Sheen Kaaf Nizam
Sher
Ahmad Mushtaq
Sher
Shaad Aarfi
Sher
Anand Narayan Mulla
Sher
zabaan apnii badalne pe ko.ii raazii nahii.n
vahii javaab hai us kaa vahii savaal miraa
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
sirf mausam ke badalne hii pe mauquuf nahii.n
dard bhii suurat-e-haalaat bataa detaa hai
Baqa Baluch
Sher
ma.aal-e-izzat-e-saadaat-e-ishq dekh ke ham
badal ga.e to badalne pe itnii hairat kyaa
Iftikhar Arif
Sher
ye kaun utraa pa.e-gasht apnii masnad se
aur intizaam-e-makaan o siraa badalne lagaa
Sarvat Husain
Sher
bahut jaldii thii tum ko raaste apne badalne kii
abhii to chaahato.n ko kitnaa paa.edaar honaa thaa
Lubna Safdar
Sher
tumhaarii yaad ke jab zaKHm bharne lagte hai.n
kisii bahaane tumhe.n yaad karne lagte hai.n