SEARCH RESULTS
Showing search results for "badar"
Sher MATCHES FOR "badar"
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
rusvaa hu.e zaliil hu.e dar-ba-dar hu.e
haq baat lab pe aa.ii to ham be-hunar hu.e
Khaleel Tanveer
Sher
dar-ba-dar Thokare.n khaa.ii.n to ye maaluum hu.aa
ghar kise kahte hai.n kyaa chiiz hai be-ghar honaa
Saleem Ahmed
Sher
Unknown
Sher
sab kii apnii manzile.n thii.n sab ke apne raaste
ek aavaara phire ham dar-ba-dar sab se alag
Sarmad Sahbai
Sher
liye phiraa jo mujhe dar-ba-dar zamaane me.n
KHayaal tujh ko dil-e-be-qaraar kis kaa thaa
Muneer Niyazi
Sher
kuchh be-Thikaana kartii rahii.n hijrate.n mudaam
kuchh merii vahshato.n ne mujhe dar-ba-dar kiyaa
Sabir Zafar
Sher
dar-ba-dar hone se pahle kabhii sochaa bhii na thaa
ghar mujhe raas na aayaa to kidhar jaa.uu.ngaa
Saqi Amrohvi
Sher
phir hu.aa aise ki mujh ko dar-ba-dar karne ke ba.ad
naam us bastii kaa mere naam par rakkhaa gayaa
Jawaz Jafri
Sher
tujh se to dil ke paas mulaaqaat ho ga.ii
mai.n KHud ko Dhuu.nDne ke liye dar-ba-dar gayaa
Mustafa Zaidi
Sher
kaun suntaa hai havaa.o.n kii ajab sargoshiyaa.n
aur jaatii hai.n havaa.e.n dar-ba-dar kis ke liye
Mohammad Khalid
Sher
dar badar kii KHaak thii taqdiir me.n
ham liye kaa.ndho.n pe ghar chalte rahe
Bilqis Zafirul Hasan
Sher
chhaanii kahaa.n na KHaak na paayaa kahii.n tumhe.n
miTTii mirii KHaraab abas dar-ba-dar hu.ii
Bhartendu Harishchandra
Sher
Lutf-ur-rahman
Sher
Rind Lakhnavi
Sher
mai.n apne KHvaab se kaT kar jiyuu.n to meraa KHudaa
ujaa.D de mirii miTTii ko dar-ba-dar kar de
Iftikhar Arif
Sher
bahut kahaa thaa ki tum akele na rah sakoge
bahut kahaa thaa ki ham ko yuu.n dar-ba-dar na karnaa