SEARCH RESULTS
Showing search results for "barzakh"
Sher MATCHES FOR "barzakh"
Sher
Himayat Ali Shayar
Sher
ta.alluqaat ke barzaKH me.n ain-mumkin hai
zaraa saa dukh vo mujhe de to mai.n tiraa ho jaa.uu.n
Irfan Sattar
Sher
maut bar-haq hai to phir maut se Darnaa kaisaa
ek hijrat hii to hai naql-e-makaanii hii to hai
Tariq Matin
Sher
qubuul is baargah me.n iltijaa ko.ii nahii.n hotii
ilaahii yaa mujhii ko iltijaa karnaa nahii.n aataa
Chiragh Hasan Hasrat
Sher
roz ik taaza qasiida na.ii tashbiib ke saath
rizq bar-haq hai ye KHidmat nahii.n hogii ham se
Iftikhar Arif
Sher
Rind Lakhnavi
Sher
tujh se miraa mu.aamla hotaa ba-raah-e-raast
ye ishq darmiyaan na hotaa to Thiik thaa
Amjad Shahzad
Sher
Thukraa ke chale jaanaa hai bar-haq tumhe.n lekin
bas rakhnaa KHayaal itnaa jahaa.n ko na KHabar ho
A G Josh
Sher
ushshaaq jo tasavvur-e-barzaKH ke ho ga.e
aatii hai dam-ba-dam ye unhii.n ko sadaa-e-qalb
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
baarah ghanTo.n kii hai ik raat jo Taltii hii nahii.n
hijr bhii ain december me.n milaa hai mujh ko
Mahmood Ahmad Hashmi
Sher
yuu.n KHudaa kii KHudaa.ii bar-haq hai
par 'asar' kii hame.n to aas nahii.n
Sayyad Mohammad Meer Asar
Sher
jo kahtaa hai vo kartaa hai bar-aks us ke kaam
ham ko yaqii.n hai va.ada-e-naa-ustavaar kaa
Qalaq Merathi
Sher
bahut dino.n se huu.n aamad kaa apnii chashm-ba-raah
tumhaaraa le gayaa ai yaar intizaar kahaa.n
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
bar-aks kyuu.n hu.aa hai zamaane ke pher me.n
hairaa.n hai ko.ii dukh me.n kise dastaras hu.aa
Qazi Mahmud Behri
Sher
kaam az-bas-ki zamaane kaa hu.aa hai bar-aks
chor khi.nchvaa.e hai is ahd me.n kotvaal kii khaal