SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-hadaf"
Sher MATCHES FOR "be-hadaf"
Sher
kyuu.n na Thahre.n hadaf-e-naavak-e-be-daad ki ham
aap uThaa lete hai.n gar tiir KHataa hotaa hai
Mirza Ghalib
Sher
be-sabab jama.a to kartaa nahii.n tiir o tarkash
kuchh hadaf hogaa zamaane kii sitamgaarii kaa
Ejaz Gul
Sher
Dhuu.nD aflaak na.e aur zamiine.n bhii na.ii
ho Gazal kaa tirii har she'r nayaa harf-ba-harf
Sada Ambalvi
Sher
hame.n hai shauq ki be-parda tum ko dekhe.nge
tumhe.n hai sharm to aa.nkho.n pe haath dhar lenaa
Dagh Dehlvi
Sher
'attaar' ho 'ruumii' ho 'raazii' ho 'Gazaalii' ho
kuchh haath nahii.n aataa be-aah-e-sahar-gaahii
Allama Iqbal
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
ab du.aa.o.n ke liye uThte nahii.n hai.n haath bhii
be-yaqiinii kaa to aalam thaa magar aisaa na thaa
Mohsin Ehsan
Sher
be-shak asiir-e-gesuu-e-jaanaa.n hai.n be-shumaar
hai ko.ii ishq me.n bhii giraftaar dekhnaa
Haneef akhgar
Sher
be-hunar haath chamakne lagaa suuraj kii tarah
aaj ham kis se mile aaj kise chhuu aa.e
Shahzad Ahmad
Sher
aastii.n us ne jo kuhnii tak cha.Dhaa.ii vaqt-e-sub.h
aa rahii saare badan kii be-hijaabii haath me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
rind-e-KHaraab-nosh kii be-adabii to dekhiye
niyyat-e-mai-kashii na kii haath me.n jaam le liyaa
Shakeel Badayuni
Sher
Ameeq Hanafi
Sher
ye apnii bebasii hai yaa ki apnii be-hisii yaaro
hai apnaa haath un ke saamne jo KHud bhikaarii hai.n
Aziz Ansari
Sher
rashk kahtaa hai ki us kaa Gair se iKHlaas haif
aql kahtii hai ki vo be-mehr kis kaa aashnaa
Mirza Ghalib
Sher
Nizam Rampuri
Sher
ra.ng aa.nkho.n ke liye buu hai dimaaGo.n ke liye
phuul ko haath lagaane kii zaruurat kyaa hai