SEARCH RESULTS
Showing search results for "bhulaane"
Sher MATCHES FOR "bhulaane"
Sher
Garaz ki kaaT diye zindagii ke din ai dost
vo terii yaad me.n ho.n yaa tujhe bhulaane me.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabe.n
ik shaKHs kii yaado.n ko bhulaane ke liye hai.n
Jan Nisar Akhtar
Sher
tum se chhuT kar bhii tumhe.n bhuulnaa aasaan na thaa
tum ko hii yaad kiyaa tum ko bhulaane ke liye
Nida Fazli
Sher
sunaa hai hame.n vo bhulaane lage hai.n
to kyaa ham unhe.n yaad aane lage hai.n
Khumar Barabankavi
Sher
ye aur baat ki chaahat ke zaKHm gahre hai.n
tujhe bhulaane kii koshish to varna kii hai bahut
Mahmood Shaam
Sher
Allama Iqbal
Sher
Musavvir Sabzwari
Sher
tumhaare bas me.n agar ho to bhuul jaa.o mujhe
tumhe.n bhulaane me.n shaayad mujhe zamaana lage
Qaisarul Jafri
Sher
kuchh zamaane kii ravish ne saKHt mujh ko kar diyaa
aur kuchh bedard mai.n us ko bhulaane se hu.aa
Javed Shaheen
Sher
kisii ko dil se bhulaane me.n der lagtii hai
ye kap.De kamre ke andar sukhaane pa.Dte hai.n
Moin Shadab
Sher
tujhe bhulaane kii koshish me.n phir rahe the ki ham
kuchh aur saath me.n parchhaa.iyaa.n lagaa laa.e
Aashufta Changezi
Sher
aasaan nahii.n marhala-e-tark-e-vafaa bhii
muddat hu.ii ham is ko bhulaane me.n lage hai.n
Hafeez Banarasi
Sher
bahut vo saath rahaa hai bahut hai yaad mujhe
use bhulaane ko 'KHaavar' ye zindagii kam hai
Iqbal Khawar
Sher
jis ke vaaste barso.n sa.i-e-raa.egaa.n kii hai
ab use bhulaane kii sa.i-e-raa.egaa.n kar le.n
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
tire bhulaane me.n meraa qusuur itnaa hai
ki pa.D ga.e the mujhe kaam kuchh ziyaada hii
Mansoor Aafaque
Sher
Unknown
Sher
tamaam umr ga.nvaa dii jise bhulaane me.n
vo nisf maazii kaa qissa thaa nisf haal kaa thaa