SEARCH RESULTS
Showing search results for "bhulaane"
Ghazal MATCHES FOR "bhulaane"
Ghazal
ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabe.n
ik shaKHs kii yaado.n ko bhulaane ke liye hai.n
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
vahii phir mujhe yaad aane lage hai.n
jinhe.n bhuulne me.n zamaane lage hai.n
Khumar Barabankavi
Ghazal
tumhaare bas me.n agar ho to bhuul jaa.o mujhe
tumhe.n bhulaane me.n shaayad mujhe zamaana lage
Qaisarul Jafri
Ghazal
unhe.n bhuulnaa yaa unhe.n yaad karnaa
vo bichh.De hai.n jab se yahii mashGala hai
Khumar Barabankavi
Ghazal
dil me.n kitne ahd baa.ndhe the bhulaane ke use
vo milaa to sab iraade to.Dnaa achchhaa lagaa
Amjad Islam Amjad
Ghazal
shahr kuucho.n me.n karo hashr bapaa aaj ki ham
us ke va.ado.n ko bhulaane ke liye nikle hai.n
Jaun Eliya
Ghazal
Ahmad Faraz
Ghazal
vo mirii shakl miraa naam bhulaane vaalii
apnii tasviir se kyaa aa.nkh milaatii hogii
Wasi Shah
Ghazal
bhulaa diyaa to bhulaane kii intihaa kar dii
vo shaKHs ab mire vahm o gumaan se bhii gayaa
Shahid Kabir
Ghazal
vo sivaa yaad aa.e bhulaane ke ba.ad
zindagii ba.Dh ga.ii zahr khaane ke ba.ad
Khumar Barabankavi
Ghazal
vo ba-zaahir to milaa thaa ek lamhe ko 'adiim'
umr saarii chaahiye us ko bhulaane ke liye
Adeem Hashmi
Ghazal
Garaz ki kaaT diye zindagii ke din ai dost
vo terii yaad me.n ho.n yaa tujhe bhulaane me.n
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
vo shakl pighlii to har shai me.n Dhal ga.ii jaise
ajiib baat hu.ii hai use bhulaane me.n
Javed Akhtar
Ghazal
ab na vo chhat hai na vo ziina na anguur kii bel
sirf ik us ko bhulaane kii qasam baaqii hai
Nida Fazli
Ghazal
sochaa hii na thaa yuu.n bhii use yaad rakhe.nge
jab us ko bhulaane kii bhii fursat na milegii