SEARCH RESULTS
Showing search results for "bhuulnaa"
Sher MATCHES FOR "bhuulnaa"
Sher
tum se chhuT kar bhii tumhe.n bhuulnaa aasaan na thaa
tum ko hii yaad kiyaa tum ko bhulaane ke liye
Nida Fazli
Sher
maa.n ne likhaa hai KHat me.n jahaa.n jaa.o KHush raho
mujh ko bhale na yaad karo ghar na bhuulnaa
Ajmal Ajmali
Sher
dil ko bhii Gam kaa saliiqa na thaa pahle pahle
us ko bhii bhuulnaa achchhaa lagaa pahle pahle
Kishwar Naheed
Sher
bhuulnaa KHud ko to aasaa.n hai bhulaa baiThaa huu.n
vo sitamgar jo na bhuule se bhulaayaa jaa.e
Zehra Nigaah
Sher
ta.alluq kii na.ii ik rasm ab iijaad karnaa hai
na us ko bhuulnaa hai aur na us ko yaad karnaa hai
Humaira Rahat
Sher
tuu mujh ko bhuulnaa chaahe to bhuul saktaa hai
mai.n ek harf-e-tamannaa tirii kitaab me.n huu.n
Khaleel Tanveer
Sher
ye alag baat ki tajdiid-e-ta.alluq na hu.aa
par use bhuulnaa chaahuu.n to zamaane lag jaa.e.n
Ahmad Ashfaq
Sher
kitnii taviil kyuu.n na ho baatil kii zindagii
har raat kaa hai sub.h muqaddar na bhuulnaa
Ajmal Ajmali
Sher
jahaa.n pahu.nch ke tumhe.n bhuulnaa munaasib thaa
rah-e-hayaat me.n aise bhii kuchh maqaam aa.e
Mahram Lakhnavi
Sher
mujhe bhuulnaa nahii.n shaam-e-hijr ke shor me.n
mai.n charaaG huu.n to mujhe jalaa ke bhii dekhnaa
Unknown
Sher
Masood Tanha
Sher
Jaleel 'Aali'
Sher
tum ne kiyaa na yaad kabhii bhuul kar hame.n
ham ne tumhaarii yaad me.n sab kuchh bhulaa diyaa
Bahadur Shah Zafar
Sher
Khumar Barabankavi
Sher
vahii phir mujhe yaad aane lage hai.n
jinhe.n bhuulne me.n zamaane lage hai.n
Khumar Barabankavi
Sher
Garaz ki kaaT diye zindagii ke din ai dost
vo terii yaad me.n ho.n yaa tujhe bhulaane me.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabe.n
ik shaKHs kii yaado.n ko bhulaane ke liye hai.n
Jan Nisar Akhtar
Sher
yaad us kii itnii KHuub nahii.n 'miir' baaz aa
naadaan phir vo jii se bhulaayaa na jaa.egaa
Meer Taqi Meer
Sher
tum bhuul kar bhii yaad nahii.n karte ho kabhii
ham to tumhaarii yaad me.n sab kuchh bhulaa chuke