SEARCH RESULTS
Showing search results for "bujhe"
Sher MATCHES FOR "bujhe"
Sher
itnaa sach bol ki ho.nTo.n kaa tabassum na bujhe
raushnii KHatm na kar aage a.ndheraa hogaa
Nida Fazli
Sher
thakii thakii sii fazaa.e.n bujhe bujhe taare
ba.Dii udaas gha.Dii hai zaraa Thahar jaa.o
Saifuddin Saif
Sher
bujhe labo.n pe hai boso.n kii raakh bikhrii hu.ii
mai.n is bahaar me.n ye raakh bhii u.Daa duu.ngaa
Saqi Faruqi
Sher
band kar ke mirii aa.nkhe.n vo sharaarat se ha.nse
buujhe jaane kaa mai.n har roz tamaashaa dekhuu.n
Parveen Shakir
Sher
faanuus ban ke jis kii hifaazat havaa kare
vo sham.a kyaa bujhe jise raushan KHudaa kare
Unknown
Sher
ravish ravish pe chaman ke bujhe bujhe manzar
ye kah rahe hai.n yahaa.n se bahaar guzrii hai
Shaukat Wasti
Sher
bujhe hu.e dar-o-diivaar dekhne vaalo
use bhii dekho jo ik umr yaa.n guzaar gayaa
Mushfiq Khwaja
Sher
ye kahnaa haar na maanii kabhii a.ndhero.n se
bujhe charaaG to dil ko jalaa liyaa kahnaa
Alamtaab Tishna
Sher
Anand Narayan Mulla
Sher
aqeel nomani
Sher
jo tere Gam me.n jale hai.n vo phir bujhe hii nahii.n
jab in kii raakh kuredo sharaare zinda hai.n
Ram Riyaz
Sher
tishnagii KHaak bujhe ashk kii tuGyaanii se
ain barsaat me.n big.De hai mazaa paanii kaa