SEARCH RESULTS
Showing search results for "daavaa-e-junuu.n"
Sher MATCHES FOR "daavaa-e-junuu.n"
Sher
samajh to ye ki na samjhe KHud apnaa ra.ng-e-junuu.n
mizaaj ye ki zamaana mizaaj-daa.n hotaa
Aal-e-Raza Raza
Sher
junuu.n hotaa hai chhaa jaatii hai hairat
kamaal-e-aql ik diivaana-pan hai
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
kabhii na jaa.egaa aashiq se dekh-bhaal kaa rog
pilaa.o laakh use bad-maza davaa-e-firaaq
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
Aasi Ghazipuri
Sher
faanii davaa-e-dard-e-jigar zahr to nahii.n
kyuu.n haath kaa.nptaa hai mire chaarasaaz kaa
Fani Badayuni
Sher
Noon Meem Rashid
Sher
Allama Iqbal
Sher
Noon Meem Rashid
Sher
daava-e-aashiqii hai to 'hasrat' karo nibaah
ye kyaa ke ibtidaa hii me.n ghabraa ke rah ga.e
Hasrat Mohani
Sher
mai.n ab to ai junuu.n tire haatho.n se ta.ng huu.n
laa.uu.n kahaa.n se roz garebaa.n na.e na.e
Niyaz Fatehpuri
Sher
chaman me.n gul ne jo kal daava-e-jamaal kiyaa
jamaal-e-yaar ne mu.nh us kaa KHuub laal kiyaa
Meer Taqi Meer
Sher
ik ta.aaruf to zaruurii hai sar-e-raah-e-junuu.n
dasht vaale na.e barbaad ko kab jaante hai.n
Aziz Nabeel
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
hai miraa zabt-e-junuu.n josh-e-junuu.n se ba.Dh kar
na.ng hai mere liye chaak-e-garebaa.n honaa
Chakbast Braj Narayan
Sher
teraa hii ho ke jo rah jaa.uu.n to phir kyaa hogaa
ai junuu.n aur hai.n duniyaa me.n bahut kaam mujhe
Syed Ehtisham Husain
Sher
sab ko ham bhuul ga.e josh-e-junuu.n me.n lekin
ik tirii yaad thii aisii jo bhulaa.ii na ga.ii
Jigar Moradabadi
Sher
iisaa se davaa-e-maraz-e-ishq na hogii
haa.n un ko ko.ii Dhuu.nD ke le aa.e kahii.n se