SEARCH RESULTS
Showing search results for "deedar"
Sher MATCHES FOR "deedar"
Sher
kaun sii jaa hai jahaa.n jalva-e-maashuuq nahii.n
shauq-e-diidaar agar hai to nazar paidaa kar
Ameer Minai
Sher
jis taraf tuu hai udhar ho.ngii sabhii kii nazre.n
iid ke chaa.nd kaa diidaar bahaana hii sahii
Amjad Islam Amjad
Sher
kuchh nazar aataa nahii.n us ke tasavvur ke sivaa
hasrat-e-diidaar ne aa.nkho.n ko andhaa kar diyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
ab vahii karne lage diidaar se aage kii baat
jo kabhii kahte the bas diidaar honaa chaahiye
Zafar Iqbal
Sher
mai.n baaG me.n huu.n taalib-e-diidaar kisii kaa
gul par hai nazar dhyaan me.n ruKHsaar kisii kaa
Taashshuq Lakhnavi
Sher
diidaar kii talab ke tariiqo.n se be-KHabar
diidaar kii talab hai to pahle nigaah maa.ng
Azad Ansari
Sher
aashiq ko dekhte hai.n dupaTTe ko taan kar
dete hai.n ham ko sharbat-e-diidaar chhaan kar
Meer Anees
Sher
kyuu.n jal gayaa na taab-e-ruKH-e-yaar dekh kar
jaltaa huu.n apnii taaqat-e-diidaar dekh kar
Mirza Ghalib
Sher
kaisii ajiib shart hai diidaar ke liye
aa.nkhe.n jo band ho.n to vo jalva dikhaa.ii de
Krishn Bihari Noor
Sher
yaa to kisii ko jur.at-e-diidaar hii na ho
yaa phir mirii nigaah se dekhaa kare ko.ii
Asrarul Haq Majaz
Sher
ab aur der na kar hashr barpaa karne me.n
mirii nazar tire diidaar ko tarastii hai
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
dil ko niyaaz-e-hasrat-e-diidaar kar chuke
dekhaa to ham me.n taaqat-e-diidaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
aadam-e-KHaakii se aalam ko jilaa hai varna
aa.iina thaa to magar qaabil-e-diidaar na thaa
Meer Taqi Meer
Sher
tiraa diidaar ho aa.nkhe.n kisii bhii samt dekhe.n
so har chehre me.n ab terii shabaahat chaahiye hai