SEARCH RESULTS
Showing search results for "dil-farebii"
Sher MATCHES FOR "dil-farebii"
Sher
ye dil-fareb charaaGaa.n ye qahqaho.n ke hujuum
mai.n Dar rahaa huu.n ab is shahar se guzarte hu.e
Salman Khayal
Sher
har dil-fareb chiiz nazar kaa Gubaar hai
aa.nkhe.n hasiin ho.n to KHizaa.n bhii bahaar hai
Abdul Hamid Adam
Sher
fariyaad ai tasavvur-e-abruu-e-dil-fareb
qible kii samt bhuul gayaa huu.n namaaz me.n
Jaleel Manikpuri
Sher
tire va.ado.n pe kahaa.n tak miraa dil fareb khaa.e
ko.ii aisaa kar bahaana mirii aas TuuT jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Sher
saalik hai garche sair-e-maqaamaat-e-dil-fareb
jo ruk ga.e yahaa.n vo maqaam-e-KHatar me.n hai.n
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
ye husn-e-dil-fareb ye aalam shabaab kaa
goyaa chhalak rahaa hai piyaala sharaab kaa
Asar Sahbai
Sher
duniyaa ne terii yaad se begaana kar diyaa
tujh se bhii dil-fareb hai.n Gam rozgaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Sher
dil-e-tabaah me.n aabaad hai zamaane se
ik aisii baat jo khultii hai muskuraane se
Shahnawaz Farooqi
Sher
hamaare daur me.n dil bhii hai chhoTaa
ba.Daa hai kuchh to bas ibrat ba.Dii hai
Shahnawaz Farooqi
Sher
kyaa kyaa fareb dil ko diye iztiraab me.n
un kii taraf se aap likhe KHat javaab me.n
Dagh Dehlvi
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
dil vaalo.n se sunte the kabhii qissa-e-duniyaa
ab dil kii kahaanii bhii sunaate hai.n adaakaar
Shahnawaz Farooqi
Sher
fareb-e-qurb-e-yaar ho ki hasrat-e-supurdagii
kisii sabab se dil mujhe ye be-qaraar chaahiye
Tanveer Anjum
Sher
fareb khaa.e na kyuu.n kar kisii kaa saada dil
zamaana-saaz nigaaho.n se aashnaa to nahii.n