SEARCH RESULTS
Showing search results for "durra-e-mauj"
Sher MATCHES FOR "durra-e-mauj"
Sher
kuchh duur aa.o maut ke hamraah bhii chale.n
mumkin hai raaste me.n kahii.n zindagii mile
Khurshid Ahmad Jami
Sher
aastiin-e-mauj dariyaa se judaa hotii nahii.n
rabt teraa chashm se kyuu.n aastii.n jaataa rahaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
KHanda-e-mauj mirii tishna-labii ne jaanaa
ret kaa taptaa hu.aa dekh ke zarra ko.ii
Sharif kunjahi
Sher
ai mauj-e-havaadis tujhe maaluum nahii.n kyaa
ham ahl-e-mohabbat hai.n fanaa ho nahii.n sakte
Asad Bhopali
Sher
sarak ai mauj salaamat to rah-e-saahil le
tujh ko kyaa kaam jo kashtii mirii tuufaan me.n hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ahl-e-biinash ko hai tuufaan-e-havaadis maktab
lutma-e-mauj kam az saili-e-ustaad nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
baar-haa ye bhii hu.aa anjuman-e-naaz se ham
suurat-e-mauj uThe misl-e-talaatum aa.e
Asad Bhopali
Sher
ai mauj-e-KHush-KHiraam zaraa tez tez chal
bantii hai sat.h-e-aab kinaara kabhii kabhii
Aziz Tamannai
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
hai mushtamil numuud-e-suvar par vajuud-e-bahar
yaa.n kyaa dharaa hai qatra o mauj-o-habaab me.n
Mirza Ghalib
Sher
bikhar ke chhuuT na jaa.uu.n tirii giraft se mai.n
sambhaal kar mujhe ai mauj-e-KHush-adaa le jaa
Alimullah Hali
Sher
Fuzail Jafri
Sher
Moin Ahsan Jazbi
Sher
azaab-e-mauj-o-talaatum mujhe qubuul magar
KHudaa bachaa.e azaab-e-fareb-e-saahil se
Iqbal Azeem
Sher
Aziz Tamannai
Sher
sunaa kis ne haal meraa ki juu.n abr vo na royaa
rakhe hai magar ye qissa asar-e-du.aa-e-baaraa.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
Ibn e Insha
Sher
ye tamaashaa diidanii Thahraa magar dekhegaa kaun
ho ga.e ham raakh to dast-e-du.aa raushan hu.aa