SEARCH RESULTS
Showing search results for "ehsaan"
Sher MATCHES FOR "ehsaan"
Sher
muKHtasar ye hai hamaarii daastaan-e-zindagii
ik sukuun-e-dil kii KHaatir umr bhar ta.Dpaa kiye
Moin Ahsan Jazbi
Sher
ye u.Dii u.Dii sii ra.ngat ye khule khule se gesuu
tirii sub.h kah rahii hai tirii raat kaa fasaana
Ehsan Danish
Sher
dil le ke muft kahte hai.n kuchh kaam kaa nahii.n
ulTii shikaayate.n hu.ii.n ehsaan to gayaa
Dagh Dehlvi
Sher
rahtaa nahii.n insaan to miT jaataa hai Gam bhii
so jaa.e.nge ik roz zamii.n o.Dh ke ham bhii
Ehsan Danish
Sher
yahii zindagii musiibat yahii zindagii musarrat
yahii zindagii haqiiqat yahii zindagii fasaana
Moin Ahsan Jazbi
Sher
yuu.n bhii tiraa ehsaan hai aane ke liye aa
ai dost kisii roz na jaane ke liye aa
Talib Baghpati
Sher
kis kis kii zabaa.n rokne jaa.uu.n tirii KHaatir
kis kis kii tabaahii me.n tiraa haath nahii.n hai
Ehsan Danish
Sher
kuchh log jo savaar hai.n kaaGaz kii naav par
tohmat taraashte hai.n havaa ke dabaav par
Ehsan Danish
Sher
tum saada-mizaajii se miTe phirte ho jis par
vo shaKHs to duniyaa me.n kisii kaa bhii nahii.n hai
Ehsan Danish
Sher
Ahsan Marahravi
Sher
namaaz apnii agarche kabhii qazaa na hu.ii
adaa kisii kii jo dekhii to phir adaa na hu.ii
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
sach hai ehsaan kaa bhii bojh bahut hotaa hai
chaar phuulo.n se dabii jaatii hai turbat merii
Jaleel Manikpuri
Sher
barsaat tham chukii hai magar har shajar ke paas
itnaa to hai ki aap kaa daaman bhigo sake
Ahsan Yusuf Zai
Sher
bikhre hu.e KHvaabo.n kii vo tasviir hai shaayad
ab ye bhii nahii.n yaad kahaa.n us se milaa thaa