SEARCH RESULTS
Showing search results for "farz"
Sher MATCHES FOR "farz"
Sher
un kaa jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaane.n
meraa paiGaam mohabbat hai jahaa.n tak pahu.nche
Jigar Moradabadi
Sher
aur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaa
raahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Zehra Nigaah
Sher
Mirza Ghalib
Sher
bole ki tujh ko diin kii islaah farz hai
mai.n chal diyaa ye kah ke ki aadaab arz hai
Akbar Allahabadi
Sher
kyaa farz hai ki sab ko mile ek saa javaab
aa.o na ham bhii sair kare.n koh-e-tuur kii
Mirza Ghalib
Sher
Ahmad Faraz
Sher
farz barso.n kii ibaadat kaa adaa ho jaise
but ko yuu.n puuj rahe hai.n ki KHudaa ho jaise
Zaheer Kashmiri
Sher
fazaa ye amn-o-amaa.n kii sadaa rakhe.n qaa.em
suno ye farz tumhaaraa bhii hai hamaaraa bhii
Nusrat Mehdi
Sher
kise fursat ki farz-e-KHidmat-e-ulfat bajaa laa.e
na tum bekaar baiThe ho na ham bekaar baiThe hai.n
Azad Ansari
Sher
farz hai dariyaa-dilo.n par KHaaksaaro.n kii madad
farsh sahraa ke liye laazim hu.aa sailaab kaa