SEARCH RESULTS
Showing search results for "gulguu.n"
Sher MATCHES FOR "gulguu.n"
Sher
gul-guu.n tirii galii rahe aashiq ke KHuun se
yaarab na ho KHizaa.n se ye teraa chaman KHaraab
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
koso.n mai-e-gulguu.n kii havaa le ga.ii mujh ko
ye laal-parii ghar se u.Daa le ga.ii mujh ko
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
chhalakne lage ashk-e-gulguu.n mizha se
phir aa.ii hai fasl-e-bahaar garebaa.n
Shaikh Qudratullah Qudrat
Sher
gulo.n me.n rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhii aa.o ki gulshan kaa kaarobaar chale
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Saba Afghani
Sher
Ummeed Fazli
Sher
aabaad agar na dil ho to barbaad kiijiye
gulshan na ban sake to bayaabaa.n banaa.iye
Jigar Moradabadi
Sher
Qadr Bilgrami
Sher
dil ke do hisse jo kar Daale the husn-o-ishq ne
ek sahraa ban gayaa aur ek gulshan ho gayaa
Nooh Narvi
Sher
Ahmad Mushtaq
Sher
gulshan-parast huu.n mujhe gul hii nahii.n aziiz
kaa.nTo.n se bhii nibaah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Sher
jaa.egii gulshan talak us gul kii aamad kii KHabar
aa.egii bulbul mire ghar me.n mubaarakbaad ko
Sakhi Lakhnvi
Sher
jis ne buniyaad gulistaa.n kii kabhii Daalii thii
us ko gulshan se guzarne nahii.n detii duniyaa
kanval Dibaivi
Sher
gulshan-e-dahr se KHushbuu kii tarah guzraa mai.n
sab ko mahkaayaa magar apnii numaa.ish nahii.n kii
Minhaj Ali
Sher
ye ghar miraa gulshan hai gulshan kaa KHudaa haafiz
allaah nigahbaan nasheman kaa KHudaa haafiz
Unknown
Sher
chaman pe Gaarat-e-gul-chii.n se jaane kyaa guzrii
qafas se aaj sabaa be-qaraar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
dimaaG de jo KHudaa gulshan-e-mohabbat me.n
har ek gul se tire pairahan kii buu aa.e
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
gulshan se ko.ii phuul mayassar na jab hu.aa
titlii ne raakhii baa.ndh dii kaa.nTe kii nok par