SEARCH RESULTS
Showing search results for "jagannath aazad ek mutala ebooks"
Sher MATCHES FOR "jagannath aazad ek mutala ebooks"
Sher
ik baar agar qafas kii havaa raas aa ga.ii
ai KHud-fareb phir havas-e-baal-o-par kahaa.n
Jagan Nath Azad
Sher
Jagan Nath Azad
Sher
Jagan Nath Azad
Sher
ibtidaa ye thii ki mai.n thaa aur da.avaa ilm kaa
intihaa ye hai ki is da.ave pe sharmaayaa bahut
Jagan Nath Azad
Sher
mai.n kyaa karuu.n ki zabt-e-tamannaa ke baavajuud
be-iKHtiyaar lab pe tiraa naam aa gayaa
Jagan Nath Azad
Sher
tumhe.n kuchh is kii KHabar bhii hai ai chaman vaalo
sahar ke baa'd nasiim-e-sahar pe kyaa guzrii
Jagan Nath Azad
Sher
is se ziyaada daur-e-junuu.n kii KHabar nahii.n
kuchh be-KHabar se aap the kuchh be-KHabar se ham
Jagan Nath Azad
Sher
asl me.n ham the tumhaare saath mahv-e-guftuguu
jab KHud apne aap se ham guftuguu karte rahe
Jagan Nath Azad
Sher
allaah re be-KHudii ki tire ghar ke aas-paas
har dar pe dii sadaa tire dar ke KHayaal me.n
Jagan Nath Azad
Sher
mai.n dil me.n un kii yaad ke tuufaa.n ko paal kar
laayaa huu.n ek mauj-e-taGazzul nikaal kar
Jagan Nath Azad
Sher
Jagan Nath Azad
Sher
kinaare hii se tuufaa.n kaa tamaashaa dekhne vaale
kinaare se kabhii andaaza-e-tuufaa.n nahii.n hotaa
Jagan Nath Azad
Sher
chalte rahe ham tund havaa.o.n ke muqaabil
'aazaad' charaaG-e-tah-e-daamaa.n na rahe ham