SEARCH RESULTS
Showing search results for "kaavish"
Sher MATCHES FOR "kaavish"
Sher
ek bosa ho.nT par phailaa tabassum ban gayaa
jo haraarat thii mirii us ke badan me.n aa ga.ii
Kavish Badri
Sher
itnii kaavish bhii na kar merii asiirii ke liye
tuu kahii.n meraa giraftaar na samjhaa jaa.e
Saleem Ahmed
Sher
zinda rakhii.n buzurgo.n kii ham ne rivaayate.n
dushman se bhii mile to mile aajizii se ham
Majid Ali Kavish
Sher
mehnat se hai azmat ki zamaane me.n nagii.n ko
be-kaavish-e-siina na kabhii naamvarii dii
Bahadur Shah Zafar
Sher
apne chehre se jo zaahir hai chhupaa.e.n kaise
terii marzii ke mutaabiq nazar aa.e.n kaise
Waseem Barelvi
Sher
ab na vo ahbaab zinda hai.n na rasm-ul-KHat vahaa.n
ruuTh kar urdu to dehlii se dakan me.n aa ga.ii
Kavish Badri
Sher
Jaun Eliya
Sher
Muneer Niyazi
Sher
kaise aakaash me.n suuraaKH nahii.n ho saktaa
ek patthar to tabii.at se uchhaalo yaaro
Dushyant Kumar
Sher
kaise kah duu.n ki mulaaqaat nahii.n hotii hai
roz milte hai.n magar baat nahii.n hotii hai
Shakeel Badayuni
Sher
kitne aish se rahte ho.nge kitne itraate ho.nge
jaane kaise log vo ho.nge jo us ko bhaate ho.nge
Jaun Eliya
Sher
daaG duniyaa ne diye zaKHm zamaane se mile
ham ko tohfe ye tumhe.n dost banaane se mile
Kaif Bhopali
Sher
kaise kah duu.n ki mujhe chho.D diyaa hai us ne
baat to sach hai magar baat hai rusvaa.ii kii