SEARCH RESULTS
Showing search results for "kambakht"
Sher MATCHES FOR "kambakht"
Sher
dii shab-e-vasl mo.azzin ne azaa.n pichhlii raat
haa.e kam-baKHt ko kis vaqt KHudaa yaad aayaa
Dagh Dehlvi
Sher
dii mu.azzin ne shab-e-vasl azaa.n pichhle pahr
haa.e kambaKHt ko kis vaqt KHudaa yaad aayaa
Dagh Dehlvi
Sher
saaqii zaraa nigaah milaa kar to dekhnaa
kambaKHt hosh me.n to nahii.n aa gayaa huu.n mai.n
Abdul Hamid Adam
Sher
dil ko KHudaa kii yaad tale bhii dabaa chukaa
kam-baKHt phir bhii chain na paa.e to kyaa karuu.n
Hafeez Jalandhari
Sher
jis lab ke Gair bose le.n us lab se 'sheftaa'
kambaKHt gaaliyaa.n bhii nahii.n mere vaaste
Shefta Mustafa Khan
Sher
aa.nkh kam-baKHt se us bazm me.n aa.nsuu na rukaa
ek qatre ne Duboyaa mujhe dariyaa ho kar
Hafeez Jalandhari
Sher
mai.n KHud bhii yaar tujhe bhuulne ke haq me.n huu.n
magar jo biich me.n kam-baKHt shaa.irii hai naa
Afzal Khan
Sher
ba-zaahir saadgii se muskuraa kar dekhne vaalo
ko.ii kam-baKHt naa-vaaqif agar diivaana ho jaa.e
Hafeez Jalandhari
Sher
Bismil Saeedi
Sher
zabt bhii sabr bhii imkaan me.n sab kuchh hai magar
pahle kam-baKHt miraa dil to miraa dil ho jaa.e
Ehsan Danish
Sher
kambaKHt kabhii jii se guzarne nahii.n detii
jiine kii tamannaa mujhe marne nahii.n detii
Nooh Narvi
Sher
ab mujh se ye duniyaa miraa sar maa.ng rahii hai
kambaKHt mire aage savaalii hii rahegii
Zeb Ghauri
Sher
sham.a par KHuun kaa ilzaam ho saabit kyuu.n-kar
phuu.nk dii laash bhii kambaKHt ne parvaane kii
Jaleel Manikpuri
Sher
Natiq Gulavthi
Sher
raqiib dono.n jahaa.n me.n zaliil kyuu.n hotaa
kisii ke biich me.n kam-baKHt agar nahii.n aataa
Kaifi Hyderabadi
Sher
mujhe kaafir hii bataataa hai ye vaa.iz kam-baKHt
mai.n ne bando.n me.n ka.ii baar KHudaa ko dekhaa