SEARCH RESULTS
Showing search results for "karse"
Sher MATCHES FOR "karse"
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
apne chehre se jo zaahir hai chhupaa.e.n kaise
terii marzii ke mutaabiq nazar aa.e.n kaise
Waseem Barelvi
Sher
tumhaarii yaad ke jab zaKHm bharne lagte hai.n
kisii bahaane tumhe.n yaad karne lagte hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
hazaaro.n kaam mohabbat me.n hai.n maze ke 'daaG'
jo log kuchh nahii.n karte kamaal karte hai.n
Dagh Dehlvi
Sher
Jaun Eliya
Sher
ik tarz-e-taGaaful hai so vo un ko mubaarak
ik arz-e-tamannaa hai so ham karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kaise aakaash me.n suuraaKH nahii.n ho saktaa
ek patthar to tabii.at se uchhaalo yaaro
Dushyant Kumar
Sher
kaise kah duu.n ki mulaaqaat nahii.n hotii hai
roz milte hai.n magar baat nahii.n hotii hai
Shakeel Badayuni
Sher
jhuk kar salaam karne me.n kyaa harj hai magar
sar itnaa mat jhukaa.o ki dastaar gir pa.De
Iqbal Azeem
Sher
kitne aish se rahte ho.nge kitne itraate ho.nge
jaane kaise log vo ho.nge jo us ko bhaate ho.nge
Jaun Eliya
Sher
rahtaa hai ibaadat me.n hame.n maut kaa khaTkaa
ham yaad-e-KHudaa karte hai.n, kar le na KHudaa yaad